mere hi gham ki tarjuman-e-fitrat hai diwana ho
mere hī ġham kī tarjumān-e-fitrat hai dīvāna ho
mujh ko vo dāstāñ sunā jo merī dāstāñ na ho
'ishq-e-junūñ-navāz sun tujh pe agar garāñ na ho
husn to be-naqāb hai tū hī jo darmiyāñ na ho
pesh-e-rah-e-nigāh hai duur kuchh ik ġhubār sā
jis kī mujhe talāsh hai ye vahī kārvāñ na ho
merī masarratoñ meñ thā jalva-e-dahar bhī sharīk
mujh ko miTā ke mutma.in ai ġham-e-nā-gahāñ na ho
husn kī bārgāh meñ jabr kā naam 'ishq hai
ġham ho magar gila na ho dil ho magar zabāñ na ho
ātish-e-zabt se mafar yuuñ to fuġhāñ meñ hai magar
haa.e vo nā-tavāñ jise hausla-e-fuġhāñ na ho
sher-o-adab ko aaj bhī sinf-e-ġhazal pe naaz hai
sa'ī-e-muhā-e-sad 'shakīl' sa'ī-e-rā.igāñ na ho
mere hi gham ki tarjuman-e-fitrat hai diwana ho
mujh ko wo dastan suna jo meri dastan na ho
'ishq-e-junun-nawaz sun tujh pe agar garan na ho
husn to be-naqab hai tu hi jo darmiyan na ho
pesh-e-rah-e-nigah hai dur kuchh ek ghubar sa
jis ki mujhe talash hai ye wahi karwan na ho
meri masarraton mein tha jalwa-e-dahar bhi sharik
mujh ko miTa ke mutmain ai gham-e-na-gahan na ho
husn ki bargah mein jabr ka nam 'ishq hai
gham ho magar gila na ho dil ho magar zaban na ho
aatish-e-zabt se mafar yun to fughan mein hai magar
hae wo na-tawan jise hausla-e-fughan na ho
sher-o-adab ko aaj bhi sinf-e-ghazal pe naz hai
sa'i-e-muha-e-sad 'shakil' sa'i-e-raigan na ho
- Book : Nairang-e-Khayaal (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.