kahun kis se ki ab kya kya hue wahm-o-guman mujhko
kahūñ kis se ki ab kyā kyā hue vahm-o-gumāñ mujh ko
nasīhat kar rahā thā aaj merā rāz-dāñ mujh ko
banāyā ḳhud-ġharz parde ne tere jān-e-jāñ mujh ko
na hotā varna apne aap par terā gumāñ mujh ko
na ho jaa.e kahīñ taqdīm yā tāḳhīr lafzoñ meñ
sunā de ai mire qāsid zarā merā bayāñ mujh ko
hikāyat bar-sabīl-e-tazkira hai qais-o-vāmiq kī
magar kahnā na aa.ī aah apnī dāstāñ mujh ko
tumhār husn meñ jazba thā ḳhud 'ishq-e-āfrīnī kā
vagarna da.ave ulfat kī himmat thī kahāñ mujh ko
mirī 'āshiq-mizājī aur us par barq kī shoḳhī
bhalā us vaqt kyā hotā ḳhayāl-e-āshiyāñ mujh ko
mirī jānib se āḳhir un ke dil meñ bhī ġhubār aayā
milā.egā kahāñ tak ḳhaak meñ ai āsmāñ mujh ko
kahāñ se zarf lā.ūñgā ki tāqat ghaTtī jaatī hai
chhupā de qabr meñ kaash ab mirā rāz-e-nihāñ mujh ko
yakāyak baat karte karte ruk jaatā hai dam merā
sikhāyā terī luknat ne ye andāz-e-bayāñ mujh ko
madārik nuqta-e-mauhūm par hai daur-e-'ālam kā
zamāna kyuuñ miTātā hai samajh kar nā-tavāñ mujh ko
qafas mujh ḳhānumāñ barbād se chhūTe kahāñ mumkin
ye qismat ne diyā hai yādgār-e-āshiyāñ mujh ko
kaleja muñh ko aatā hai jo kahnā chāhtā huuñ kuchh
magar kyā raaz hai us par bhī shauq-e-bayāñ mujh ko
garebāñ giir ho jātīñ hazāroñ hasrateñ dil kī
magar ye ḳhair guzrī aa.ī marg-e-nā-gahāñ mujh ko
jo apnā mo'taqid ho shikvā us se kyā karūñ 'shākir'
samajhtā hai harīs-e-lazzat-e-ġham āsmāñ mujh ko
kahun kis se ki ab kya kya hue wahm-o-guman mujh ko
nasihat kar raha tha aaj mera raaz-dan mujh ko
banaya KHud-gharz parde ne tere jaan-e-jaan mujh ko
na hota warna apne aap par tera guman mujh ko
na ho jae kahin taqdim ya taKHir lafzon mein
suna de ai mere qasid zara mera bayan mujh ko
hikayat bar-sabil-e-tazkira hai qais-o-wamiq ki
magar kahna na aai aah apni dastan mujh ko
tumhaar husn mein jazba tha KHud 'ishq-e-afrini ka
wagarna dawe ulfat ki himmat thi kahan mujh ko
meri 'ashiq-mizaji aur us par barq ki shoKHi
bhala us waqt kya hota KHayal-e-ashiyan mujh ko
meri jaanib se aaKHir un ke dil mein bhi ghubar aaya
milaega kahan tak KHak mein ai aasman mujh ko
kahan se zarf launga ki taqat ghaTti jati hai
chhupa de qabr mein kash ab mera raaz-e-nihan mujh ko
yakayak baat karte karte ruk jata hai dam mera
sikhaya teri luknat ne ye andaz-e-bayan mujh ko
madarik nuqta-e-mauhum par hai daur-e-'alam ka
zamana kyun miTata hai samajh kar na-tawan mujh ko
qafas mujh KHanuman barbaad se chhuTe kahan mumkin
ye qismat ne diya hai yaadgar-e-ashiyan mujh ko
kaleja munh ko aata hai jo kahna chahta hun kuchh
magar kya raaz hai us par bhi shauq-e-bayan mujh ko
gareban gir ho jatin hazaron hasraten dil ki
magar ye KHair guzri aai marg-e-na-gahan mujh ko
jo apna mo'taqid ho shikwa us se kya karun 'shakir'
samajhta hai haris-e-lazzat-e-gham aasman mujh ko
- Book : Nairang-e-Khayaal (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.