taḌapte lauTte sīna-sipar hote haiñ bistar par
dahān-e-zaḳhm kā har daañt hai qātil ke ḳhanjar par
ishāra abrū-e-ḳham-dār dhamkātā hai qātil kā
galā rakh deñge aa kar ’āshiq-e-jāñbāz ḳhanjar par
jise chāheñ kareñ rusvā usī kā naam ulfat hai
badī kā chāhiye hargiz gumāñ ai dil na dilbar par
ḳhudā ke sāmne kah dūñgā jo kuchh dil pe guzrī hai
na likheñ kātib-e-a.amāl qissa merā daftar par
tire bīmār-e-ġham kī haal par dushman bhī rote haiñ
shab-e-furqat basar kī karvaTeñ le-le ke bistar par
taḌaptā hai machaltā hai jahāñ koī hasīñ dekhā
nahīñ chaltā hai kuchh qaabū dil-e-be-tāb-o-muztar par
tire dariyā-e-ulfat meñ paḌe yuuñ jaan ke laale
bhañvar se jis tarah uchhle koī paanī kī chādar par
hazāroñ kar diye ik vaar meñ chū rañg-e-zālim ne
safā.ī is tarah aa.ī mire qātil ke ḳhanjar par
lagā ik vaar ḳhanjar kā ki ho jaaye subuk-doshī
tirā ehsān ai qātil rahegā ye mire sar par
vo ā.īna muqābil rakh ke ham se muñh milāte haiñ
muqaddar ko hamāre fauq hāsil hai sikandar par
marātib vo diye haiñ ahmad-e-muḳhtār ko haq ne
liye rahte the jibrīl-e-amīñ qadmoñ ko shahpar par
ġhurūr-e-husn se ai 'sharaf' dhamkāte haiñ 'āshiq ko
javānī kā ye 'ālam hai tule rahte haiñ vo shar par
taDapte lauTte sina-sipar hote hain bistar par
dahan-e-zaKHm ka har dant hai qatil ke KHanjar par
ishaara abru-e-KHam-dar dhamkata hai qatil ka
gala rakh denge aa kar ’ashiq-e-jaanbaz KHanjar par
jise chahen karen ruswa usi ka nam ulfat hai
badi ka chahiye hargiz guman ai dil na dilbar par
KHuda ke samne kah dunga jo kuchh dil pe guzri hai
na likhen katib-e-amal qissa mera daftar par
tere bimar-e-gham ki haal par dushman bhi rote hain
shab-e-furqat basar ki karwaTen le-le ke bistar par
taDapta hai machalta hai jahan koi hasin dekha
nahin chalta hai kuchh qabu dil-e-be-tab-o-muztar par
tere dariya-e-ulfat mein paDe yun jaan ke lale
bhanwar se jis tarah uchhle koi pani ki chadar par
hazaron kar diye ek war mein chu rang-e-zalim ne
safai is tarah aai mere qatil ke KHanjar par
laga ek war KHanjar ka ki ho jaye subuk-doshi
tera ehsan ai qatil rahega ye mere sar par
wo aaina muqabil rakh ke hum se munh milate hain
muqaddar ko hamare fauq hasil hai sikandar par
maraatib wo diye hain ahmad-e-muKHtar ko haq ne
liye rahte the jibril-e-amin qadmon ko shahpar par
ghurur-e-husn se ai 'sharaf' dhamkate hain 'ashiq ko
jawani ka ye 'alam hai tule rahte hain wo shar par
Source :
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.