ruuh be-chain hai qālib meñ to pardā kaisā
rāz-e-dil apne masīhā se chhupānā kaisā
ḳhud vo dīvāna hai jo mujh ko kahe dīvāna
har jagah hai mirī vahshat kā ye charchā kaisā
kahā lailā ne ki ai qais zarā hosh meñ aa
tinke chuntā phire insān ye saudā kaisā
kisī pahlū nahīñ aatā hai mire dil ko qarār
roz kambaḳht ko bahlātā huuñ kaisā-kaisā
kār-e-imroz ba-fardā ma-guzār ai ġhāfil
muñh dikhānā hai to phir va.ada-e-fardā kaisā
kyuuñ jalāte ho ajī vasl kī shab sūrat-e-sham.a
abhī aa.e ho mire ghar abhī jaanā kaisā
daaġh jo de mire dil ko vahī mujh se pūchhe
kaho ka.aba meñ charāġhoñ kā jalānā kaisā
kis tarah us ko sunā.eñ ki vo suntā hī nahīñ
kaisī dilchasp hikāyat ho fasānā kaisā
dil jo māñgā to ba-sad naaz ye hañs-hañs ke kahā
shakl kaisī hai bhalā rañg hai us kā kaisā
Thokareñ khāne ko jaatā hai jab us kūche meñ
roktā huuñ dil-e-be-tāb ko kaisā-kaisā
dil gayā yā na gayā ḳhair-guzasht āñche-guzasht
aap ko hai sar-e-mahfil ye achambhā kaisā
ghar meñ mehmān hai vo rashk-e-qamar 'shīrīñ' ke
auj par hai mire tāle.a kā sitārā kaisā
ruh be-chain hai qalib mein to parda kaisa
raaz-e-dil apne masiha se chhupana kaisa
KHud wo diwana hai jo mujh ko kahe diwana
har jagah hai meri wahshat ka ye charcha kaisa
kaha laila ne ki ai qais zara hosh mein aa
tinke chunta phire insan ye sauda kaisa
kisi pahlu nahin aata hai mere dil ko qarar
roz kambaKHt ko bahlata hun kaisa-kaisa
kar-e-imroz ba-farda ma-guzar ai ghafil
munh dikhana hai to phir wada-e-farda kaisa
kyun jalate ho aji wasl ki shab surat-e-shama
abhi aae ho mere ghar abhi jaana kaisa
dagh jo de mere dil ko wahi mujh se puchhe
kaho kaba mein charaghon ka jalana kaisa
kis tarah us ko sunaen ki wo sunta hi nahin
kaisi dilchasp hikayat ho fasana kaisa
dil jo manga to ba-sad naz ye hans-hans ke kaha
shakl kaisi hai bhala rang hai us ka kaisa
Thokaren khane ko jata hai jab us kuche mein
rokta hun dil-e-be-tab ko kaisa-kaisa
dil gaya ya na gaya KHair-guzasht aanche-guzasht
aap ko hai sar-e-mahfil ye achambha kaisa
ghar mein mehman hai wo rashk-e-qamar 'shirin' ke
auj par hai mere talea ka sitara kaisa
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 2)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.