lutf se bāġh-e-jahāñ meñ sūrat-e-shabnam rahe
ek hī shab ko rahe lekin guloñ meñ ham rahe
bulbuloñ ko zab.h kar ke le chalā sayyād jab
shabza-e-gulshan pe kuchh qatre lahū ke jam rahe
vo mere dam toḌne kī sair gar dekhā kareñ
hashr tak zinda rahūñ aur naza.a kā 'ālam rahe
tum ko aise chāhne vaale mileñge phir kahāñ
ye du'ā māñgo hasīnoñ 'āshiqoñ kā dam rahe
hukm-e-'shīrīñ' thā na hāthoñ meñ koī mehñdī male
koh par jab tak mire farhād kā mātam rahe
lutf se bagh-e-jahan mein surat-e-shabnam rahe
ek hi shab ko rahe lekin gulon mein hum rahe
bulbulon ko zabh kar ke le chala sayyaad jab
shabza-e-gulshan pe kuchh qatre lahu ke jam rahe
wo mere dam toDne ki sair gar dekha karen
hashr tak zinda rahun aur naza ka 'alam rahe
tum ko aise chahne wale milenge phir kahan
ye du'a mango hasinon 'ashiqon ka dam rahe
hukm-e-'shirin' tha na hathon mein koi mehndi male
koh par jab tak mere farhad ka matam rahe
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.