bahr-e-gul-gasht mire ghar meñ jo yaar aa jaa.e
bāġh-e-ummīd meñ ik taaza bahār aa jaa.e
lutf khīñch baiThne kā tujh ko bhī yaar aa jaa.e
mere qaabū meñ jo merā dil zaar aa jaa.e
fātiha paḌh ke mirī qabr ko Thukrāo jo tum
chain se niiñd mujhe zer-e-mazār aa jaa.e
karvaTeñ maiñ jo badaltā huuñ to ye matlab hai
jo pahlū-e-dil-e-muztar ko qarār aa jaa.e
dauḌ kar us ko gale se na lagā.ūñ kyuuñ kar
dekh kar ḳhanjar-e-qātil ko jo pyaar aa jaa.e
jazb-e-dil hijr meñ itnā to asar dikhlā de
be-talab aap mire ghar vo nigār aa jaa.e
aur bhar-bhar ke abhī jaam diye jā saaqī
kahīñ aisā na ho āñkhoñ meñ ḳhumār aa jaa.e
na sahī fātiha Thokar hī lagāte jaanā
paañv ke nīche jo 'āshiq kā mazār aa jaa.e
dil mukaddar ho to hone se na honā behtar
toḌo is ā.īna ko jis meñ ġhubār aa jaa.e
dil kī dhaḌkan kā yahī ek hai duniyā meñ 'ilāj
haath siina pe jo rakh do to qarār aa jaa.e
vasl manzūr nahīñ hai to lagāvaT kaisī
is adā se na kar inkār ki pyaar aa jaa.e
chāñdnī raat kā phir jaa.e nigāhoñ meñ samāñ
baam par apne jo 'shīrīñ' vo nigār aa jaa.e
bahr-e-gul-gasht mere ghar mein jo yar aa jae
bagh-e-ummid mein ek taza bahaar aa jae
lutf khinch baiThne ka tujh ko bhi yar aa jae
mere qabu mein jo mera dil zar aa jae
fatiha paDh ke meri qabr ko Thukrao jo tum
chain se nind mujhe zer-e-mazar aa jae
karwaTen main jo badalta hun to ye matlab hai
jo pahlu-e-dil-e-muztar ko qarar aa jae
dauD kar us ko gale se na lagaun kyun kar
dekh kar KHanjar-e-qatil ko jo pyar aa jae
jazb-e-dil hijr mein itna to asar dikhla de
be-talab aap mere ghar wo nigar aa jae
aur bhar-bhar ke abhi jam diye ja saqi
kahin aisa na ho aankhon mein KHumar aa jae
na sahi fatiha Thokar hi lagate jaana
panw ke niche jo 'ashiq ka mazar aa jae
dil mukaddar ho to hone se na hona behtar
toDo is aaina ko jis mein ghubar aa jae
dil ki dhaDkan ka yahi ek hai duniya mein 'ilaj
hath sina pe jo rakh do to qarar aa jae
wasl manzur nahin hai to lagawaT kaisi
is ada se na kar inkar ki pyar aa jae
chandni raat ka phir jae nigahon mein saman
baam par apne jo 'shirin' wo nigar aa jae
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 8)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.