saaqī na khulegā dar-e-mai-ḳhāna agar aaj
mar jā.ūñgā Takrā ke maiñ dīvār se sar aaj
ummīd nahīñ hai shab-e-furqat meñ ki ho sub.h
phir shaam se hotā hai vahī dard-e-jigar aaj
qātil se miTā dījiye har roz kā jhagḌā
rakh dījiye ḳhanjar ke tale apnā jigar aaj
furqat tumheñ ġhairoñ kī gavārā huī kyuuñ kar
hairat hai mujhe bhuul paḌe aap kidhar aaj
royā kiyā un gesuoñ kī yaad meñ shab-bhar
guzre isī aafat meñ mujhe chār-pahar aaj
ai 'shīrīñ' vo saudā.ī ho kal merī tarah se
dekhe jo koī joshish-e-vahshat kā asar aaj
saqi na khulega dar-e-mai-KHana agar aaj
mar jaunga Takra ke main diwar se sar aaj
ummid nahin hai shab-e-furqat mein ki ho subh
phir sham se hota hai wahi dard-e-jigar aaj
qatil se miTa dijiye har roz ka jhagDa
rakh dijiye KHanjar ke tale apna jigar aaj
furqat tumhein ghairon ki gawara hui kyun kar
hairat hai mujhe bhul paDe aap kidhar aaj
roya kiya un gesuon ki yaad mein shab-bhar
guzre isi aafat mein mujhe chaar-pahar aaj
ai 'shirin' wo saudai ho kal meri tarah se
dekhe jo koi joshish-e-wahshat ka asar aaj
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.