baḌh jaa.e 'ishq abrū-e-ḳhamdār aur bhī
paḌ jaa.e ek zaḳhm pe talvār aur bhī
ab tak sadā ye qabr-e-shahīdāñ se hai buland
qātil ḳhudā ke vāste ik vaar aur bhī
maiñ kyā huuñ merī qadr kareñge huzūr kyā
'āshiq haiñ ab to aap ke do chaar aur bhī
garmī meñ sāqiyā na mai-e-ātishīñ ko pī
kumhlā na jaa.eñ phuul se ruḳhsār aur bhī
chhalkā ke jām-e-mai jo diyā aaj sāqiyā
mad.hosh ho ga.e tire mai-ḳhvār aur bhī
qāsid se haal sun ke mirā bolā vo hasīn
aate haiñ roz parcha-e-akHbār aur bhī
ai 'shīrīñ' hijr-e-yār meñ ye roye rāt-bhar
ghar kyā ki paḌe dar-o-dīvār aur bhī
baDh jae 'ishq abru-e-KHamdar aur bhi
paD jae ek zaKHm pe talwar aur bhi
ab tak sada ye qabr-e-shahidan se hai buland
qatil KHuda ke waste ek war aur bhi
main kya hun meri qadr karenge huzur kya
'ashiq hain ab to aap ke do chaar aur bhi
garmi mein saqiya na mai-e-atishin ko pi
kumhla na jaen phul se ruKHsar aur bhi
chhalka ke jam-e-mai jo diya aaj saqiya
madhosh ho gae tere mai-KHwar aur bhi
qasid se haal sun ke mera bola wo hasin
aate hain roz parcha-e-akHbar aur bhi
ai 'shirin' hijr-e-yar mein ye roye raat-bhar
ghar kya ki paDe dar-o-diwar aur bhi
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.