raunaq nahīñ faroġh nahīñ vo hasham nahīñ
jab se ḳhudā ke ghar butoñ kā qadam nahīñ
fasl-e-bahār aa.ī to aane de ai junūñ
tāqat javāb de chukī ab mujh meñ dam nahīñ
qāsid se pūchhtā hai vo allāh re pās-e-nañg
ḳhat meñ to shauq-e-vasl kisī kā raqam nahīñ
parvā kise hai vasl tirā ho yā na ho
jaatī hai jaan hijr meñ us kā bhī ġham nahii.
ā.īna hotā haal tirā mujh pe sāqiyā
afsos hai ki paas mere jām-e-jam nahīñ
ai 'shīrīñ' un ke hijr ne āḳhir ko jaan lī
ye to samajh chuke the ki us ġham meñ ham nahīñ
raunaq nahin farogh nahin wo hasham nahin
jab se KHuda ke ghar buton ka qadam nahin
fasl-e-bahaar aai to aane de ai junun
taqat jawab de chuki ab mujh mein dam nahin
qasid se puchhta hai wo allah re pas-e-nang
KHat mein to shauq-e-wasl kisi ka raqam nahin
parwa kise hai wasl tera ho ya na ho
jati hai jaan hijr mein us ka bhi gham nahi
aaina hota haal tera mujh pe saqiya
afsos hai ki pas mere jam-e-jam nahin
ai 'shirin' un ke hijr ne aaKHir ko jaan li
ye to samajh chuke the ki us gham mein hum nahin
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.