vaa.iz batā tū ka.aba meñ jā kar maiñ kyā karūñ
allāh se butoñ ke liye iltijā karūñ
merī to jaan jaatī hai ik but pe vā.izā
hūr-e-jināñ ko le ke tumhārī maiñ kyā karūñ
sab kuchh milā jo vo sanam be-vafā milā
vaa.iz maiñ kis zabān se shukr-e-ḳhudā karūñ
miltā nahīñ raqīb se dil laakh kuchh kaho
ai jān-e-jāñ maiñ apnī tabī'at ko kyā karūñ
kar luuñ ḳhudā kā zikr ki tar hai abhī zabāñ
kab tak butoñ ke naam kā maalā japā karūñ
ai 'shīrīñ' kuuch jānib-e-mulk-e-'adam hai ab
kab tak maiñ intizār but-e-bevafā karūñ
waiz bata tu kaba mein ja kar main kya karun
allah se buton ke liye iltija karun
meri to jaan jati hai ek but pe waiza
hur-e-jinan ko le ke tumhaari main kya karun
sab kuchh mila jo wo sanam be-wafa mila
waiz main kis zaban se shukr-e-KHuda karun
milta nahin raqib se dil lakh kuchh kaho
ai jaan-e-jaan main apni tabi'at ko kya karun
kar lun KHuda ka zikr ki tar hai abhi zaban
kab tak buton ke nam ka mala japa karun
ai 'shirin' kuch jaanib-e-mulk-e-'adam hai ab
kab tak main intizar but-e-bewafa karun
Source :
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.