shauq-e-nazara hai jab se us ruKH-e-pur-nur ka
shauq-e-nazāra hai jab se us ruḳh-e-pur-nūr kā
hai mirā murġh-e-nazar parvāna sham.a-e-tūr kā
ai sanam kyā pūchhtā hai haal is ranjūr kā
dil na aTkā.e kahīñ allāh be-maqdūr kā
lutf jaatā hai surūd-e-nāla-e-pur-shor kā
ḳhūn-e-dil piinā hai ye khānā mujhe sindūr kā
vādī-e-zulmat meñ apnī daḳhl kab hai nuur kā
mehar ik sho.ala sā hai so bhī charāġh-e-daur kā
tere qāmat se jo ho barpā qiyāmat sarv-o-par
kaam le minqār se faryād-e-qamrī suur kā
'zauq' rāh-e-ishq vo kūcha hai jis kī ḳhaak meñ
hai dar-e-tāj-e-sulaimāñ baiza baiza mor kā
shauq-e-nazara hai jab se us ruKH-e-pur-nur ka
hai mera murgh-e-nazar parwana shama-e-tur ka
ai sanam kya puchhta hai haal is ranjur ka
dil na aTkae kahin allah be-maqdur ka
lutf jata hai surud-e-nala-e-pur-shor ka
KHun-e-dil pina hai ye khana mujhe sindur ka
wadi-e-zulmat mein apni daKHl kab hai nur ka
mehar ek shoala sa hai so bhi charagh-e-daur ka
tere qamat se jo ho barpa qiyamat sarw-o-par
kaam le minqar se faryaad-e-qamri sur ka
'zauq' rah-e-ishq wo kucha hai jis ki KHak mein
hai dar-e-taj-e-sulaiman baiza baiza mor ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.