be-wafa se dil laga kar ro paDe
be-vafā se dil lagā kar ro paḌe
dil pe ek choT khā kar ro paḌe
jis ne pūchhā ham se bichhḌe yaar kā
us ko siine se lagā kar ro paḌe
apne dilbar kī ḳhushī ke vāste
dil kā har ek ġham chhupā kar ro paḌe
likh ke us kā naam dil ke varaq par
apnī hastī ko miTā kar ro paḌe
jo mile haiñ zaḳhm 'sādiq' yaar ne
vo zamāne ko chhupā kar ro paḌe
be-wafa se dil laga kar ro paDe
dil pe ek choT kha kar ro paDe
jis ne puchha hum se bichhDe yar ka
us ko sine se laga kar ro paDe
apne dilbar ki KHushi ke waste
dil ka har ek gham chhupa kar ro paDe
likh ke us ka nam dil ke waraq par
apni hasti ko miTa kar ro paDe
jo mile hain zaKHm 'sadiq' yar ne
wo zamane ko chhupa kar ro paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.