sochta hun ki wo kitne ma’sum the kya se kya ho gae dekhte-dekhte
sochta hun ki wo kitne ma’sum the kya se kya ho gae dekhte-dekhte
Shakeb Jalali
MORE BYShakeb Jalali
sochtā huuñ ki vo kitne mā’sūm the kyā se kyā ho ga.e dekhte-dekhte
maiñ ne patthar se jin ko banāyā sanam vo ḳhudā ho ga.e dekhte-dekhte
hashr hai vahshat-e-dil kī āvārgī ham se pūchho mohabbat kī dīvāngī
jo pata pūchhte the kisī kā kabhī lāpata ho ga.e dekhte-dekhte
ham se ye soch kar koī vā'de karo ek vā'da pe 'umreñ guzar jā.eñgī
ye hai duniyā yahāñ kitne ahl-e-vafā be-vafā ho ga.e dekhte-dekhte
ġhair kī baat taslīm kyā kījiye ab to ḳhud par bhī ham ko bharosa nahīñ
apnā saaya samajhte the jin ko kabhī vo judā ho ga.e dekhte-dekhte
sochta hun ki wo kitne ma’sum the kya se kya ho gae dekhte-dekhte
main ne patthar se jin ko banaya sanam wo KHuda ho gae dekhte-dekhte
hashr hai wahshat-e-dil ki aawargi hum se puchho mohabbat ki diwangi
jo pata puchhte the kisi ka kabhi lapata ho gae dekhte-dekhte
hum se ye soch kar koi wa'de karo ek wa'da pe 'umren guzar jaengi
ye hai duniya yahan kitne ahl-e-wafa be-wafa ho gae dekhte-dekhte
ghair ki baat taslim kya kijiye ab to KHud par bhi hum ko bharosa nahin
apna saya samajhte the jin ko kabhi wo juda ho gae dekhte-dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.