maine tujhe paya hai
mazlūm kī hālat meñ
hātim kī saḳhāvat meñ
majnūñ kī mohabbat meñ
lailā kī tabī'at meñ
maiñ ne tujhe paayā hai
maiñ ne tujhe paayā hai
phūloñ ke ḳhazānoñ meñ
bulbul ke tarānoñ meñ
ulfat ke fasānoñ meñ
kulfat ke zamānoñ meñ
maiñ ne tujhe paayā hai
maiñ ne tujhe paayā hai
har baaġh meñ har ban meñ
har dān-o-kHirman meñ
vīran-o-gulshan meñ
barsāt meñ sāvan meñ
maiñ ne tujhe paayā hai
maiñ ne tujhe paayā hai
tablīġh-erisālat meñ
ḳhvāja kī karāmat meñ
ḳhākī kī mohabbat meñ
'sūfī' kī tabī'at meñ
maiñ ne tujhe paayā hai
maiñ ne tujhe paayā hai
mazlum ki haalat mein
hatim ki saKHawat mein
majnun ki mohabbat mein
laila ki tabi'at mein
main ne tujhe paya hai
main ne tujhe paya hai
phulon ke KHazanon mein
bulbul ke taranon mein
ulfat ke fasanon mein
kulfat ke zamanon mein
main ne tujhe paya hai
main ne tujhe paya hai
har bagh mein har ban mein
har dan-o-kHirman mein
wiran-o-gulshan mein
barsat mein sawan mein
main ne tujhe paya hai
main ne tujhe paya hai
tabligh-erisalat mein
KHwaja ki karamat mein
KHaki ki mohabbat mein
'sufi' ki tabi'at mein
main ne tujhe paya hai
main ne tujhe paya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.