zer-e-charkH-o-sar zamin na rahe
zer-e-charkH-o-sar zamīñ na rahe
mujh ko kahte haiñ tū kahīñ na rahe
aaj masjidoñ kī intihā kar duuñ
shauq miT jaa.e yā jabīñ na rahe
ham uThā.eñ na gar tire sadme
āsmāñ ke tale zamīñ na rahe
zikr hī kyā hai ḳhāksāroñ kā
us zamīñ pe falak-nashīñ na rahe
rahtī kuchh aur roz bazm-e-nashāt
magar afsos ḳhud hamīñ na rahe
’ishrat-e-vasl ke hoñ ham qaa.el
aaj ye dil agar hazīñ na rahe
is nahīñ ne mujhe kyā barbād
kaash ye aap kī nahīñ na rahe
jab se dil bujh gayā mirā mutrib
tere naġhme bhī dil-nashīñ na rahe
zer-e-charkH-o-sar zamin na rahe
mujh ko kahte hain tu kahin na rahe
aaj masjidon ki intiha kar dun
shauq miT jae ya jabin na rahe
hum uThaen na gar tere sadme
aasman ke tale zamin na rahe
zikr hi kya hai KHaksaron ka
us zamin pe falak-nashin na rahe
rahti kuchh aur roz bazm-e-nashat
magar afsos KHud hamin na rahe
’ishrat-e-wasl ke hon hum qael
aaj ye dil agar hazin na rahe
is nahin ne mujhe kya barbaad
kash ye aap ki nahin na rahe
jab se dil bujh gaya mera mutrib
tere naghme bhi dil-nashin na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.