mana ki jaen hum tere dar se magar kahan
maanā ki jaa.eñ ham tire dar se magar kahāñ
be-ḳhānumāñ haiñ apne Thikāne ko ghar kahāñ
us naqsh-e-pā ko sajde kiye jā rahā huuñ maiñ
le jā.iye dekhiye ye tirā rah-guzar kahāñ
furqat ne terī chhīn liyā lutf-e-zindagī
vo rāt-din kahāñ haiñ vo shām-o-sahar kahāñ
uThtī hai hūk-sī dil-e-ummīd-vār meñ
paḌtī hai bazm meñ tirī tirchhī nazar kahāñ
us husn kā asar mirī be-tābiyoñ se pūchh
ai mere be-ḳhabar tujhe apnī ḳhabar kahāñ
us ke baġhair mahfil-e-rindāñ udaas hai
dekho to hai 'tabassum' shorīda-sar kahāñ
mana ki jaen hum tere dar se magar kahan
be-KHanuman hain apne Thikane ko ghar kahan
us naqsh-e-pa ko sajde kiye ja raha hun main
le jaiye dekhiye ye tera rah-guzar kahan
furqat ne teri chhin liya lutf-e-zindagi
wo raat-din kahan hain wo sham-o-sahar kahan
uThti hai huk-si dil-e-ummid-war mein
paDti hai bazm mein teri tirchhi nazar kahan
us husn ka asar meri be-tabiyon se puchh
ai mere be-KHabar tujhe apni KHabar kahan
us ke baghair mahfil-e-rindan udas hai
dekho to hai 'tabassum' shorida-sar kahan
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.