dost aae ki koi dost ka paigham aae
dost aa.e ki koī dost kā paiġhām aa.e
aa.e jis tarah se bīmār ko ārām aa.e
ḳhum chhupā.e hue baġhloñ meñ tahī-jām aa.e
sāqiyā dekh tire mai-kada-e-āshām aa.e
abr chhāyā hai havā mast hai gulshan ḳhāmosh
kaash us vaqt vo hāthoñ meñ liye jaam aa.e
chhoḌ de taaki maiñ uThā jā.ūñ bharī mahfil se
ham-nashīñ yaad mujhe vasl ke ayyām aa.e
shaan hai ye bhī tirī bazm-e-tarab ki saaqī
koī badmast ho pī kar koī nākām aa.e
us ke kūche se mire na.ash liye jaate haiñ
koī qātil se ye kah do ki sar-e-bām aa.e
vāda-e-hūr pe honā na 'tabassum' masrūr
dekhnā dil meñ na aisī havas-e-ḳhām aa.e
dost aae ki koi dost ka paigham aae
aae jis tarah se bimar ko aaram aae
KHum chhupae hue baghlon mein tahi-jam aae
saqiya dekh tere mai-kada-e-asham aae
abr chhaya hai hawa mast hai gulshan KHamosh
kash us waqt wo hathon mein liye jam aae
chhoD de taki main uTha jaun bhari mahfil se
ham-nashin yaad mujhe wasl ke ayyam aae
shan hai ye bhi teri bazm-e-tarab ki saqi
koi badmast ho pi kar koi nakaam aae
us ke kuche se mere nash liye jate hain
koi qatil se ye kah do ki sar-e-baam aae
wada-e-hur pe hona na 'tabassum' masrur
dekhna dil mein na aisi hawas-e-KHam aae
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.