din zindagi ke kaise kaTenge bahaar mein
din zindagī ke kaise kaTeñge bahār meñ
tum iḳhtiyār meñ ho na dil iḳhtiyār meñ
sub.h-e-visāl hai na vo ab shām-e-intizār
ab kyā rahā hai gardish-e-lail-o-nahār meñ
vo nāznīn hai mahv-e-tamāshā-e-sahn-e-gul
yā aur ik bahār khilī hai bahār meñ
ik mai-gusār jām-ba-kaf ek tishna-kām
kyā vus.ateñ haiñ baḳhshish-e-parvardigār meñ
duniyā se be-ḳhabar ġham-e-duniyā se be-niyāz
baiThā hai koī sāya-e-dīvār-e-yār meñ
jin ko tirī vafā ne kiyā sarfarāz-e-dahr
vo kho ga.e hujūm-e-ġham-e-rozgār meñ
din zindagi ke kaise kaTenge bahaar mein
tum iKHtiyar mein ho na dil iKHtiyar mein
subh-e-visal hai na wo ab sham-e-intizar
ab kya raha hai gardish-e-lail-o-nahaar mein
wo naznin hai mahw-e-tamasha-e-sahn-e-gul
ya aur ek bahaar khili hai bahaar mein
ek mai-gusar jam-ba-kaf ek tishna-kaam
kya wusaten hain baKHshish-e-parwardigar mein
duniya se be-KHabar gham-e-duniya se be-niyaz
baiTha hai koi saya-e-diwar-e-yar mein
jin ko teri wafa ne kiya sarfaraaz-e-dahr
wo kho gae hujum-e-gham-e-rozgar mein
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.