Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

qaim thi yun to dard ki mahfil jagah jagah

Sufi Tabassum

qaim thi yun to dard ki mahfil jagah jagah

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    qaa.im thī yuuñ to dard mahfil jagah jagah

    ham sunā sake na ġham-e-dil jagah jagah

    tūfān-e-mauj-kHez ke ḳhūgar sambhal sambhal

    haa.il maiñ terī raah meñ sāhil jagah jagah

    dil har maqām-e-shauq se aage nikal gayā

    dāman ko khīñchtī rahī manzil jagah jagah

    har naqsh-e-pā thā mere liye terā āstāñ

    aa.ī nazar mujhe tirī mahfil jagah jagah

    shān-e-karam ko 'uzr-e-talab bhī thā nā-gavār

    phailā ke haath rah gayā saa.el jagah jagah

    har ik qadam par Thokareñ khāne ke bāvajūd

    khaa.e fareb vā’da-e-bātil jagah jagah

    hai josh-e-girya mauj-e-‘tabassum’ se ham-kanār

    hote haiñ husn-o-'ishq muqābil jagah jagah

    qaim thi yun to dard ki mahfil jagah jagah

    hum hi suna sake na gham-e-dil jagah jagah

    tufan-e-mauj-kHez ke KHugar sambhal sambhal

    hail main teri rah mein sahil jagah jagah

    dil har maqam-e-shauq se aage nikal gaya

    daman ko khinchti rahi manzil jagah jagah

    har naqsh-e-pa tha mere liye tera aastan

    aai nazar mujhe teri mahfil jagah jagah

    shan-e-karam ko 'uzr-e-talab bhi tha na-gawar

    phaila ke hath rah gaya sael jagah jagah

    har ek qadam par Thokaren khane ke bawajud

    khae fareb wa’da-e-baatil jagah jagah

    hai josh-e-girya mauj-e-‘tabassum’ se ham-kanar

    hote hain husn-o-'ishq muqabil jagah jagah

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 109)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now