wafa sunati hai dil ke qisse kabhi zaban se kabhi nazar se
wafa sunati hai dil ke qisse kabhi zaban se kabhi nazar se
Sufi Tabassum
MORE BYSufi Tabassum
vafā sunātī hai dil ke qisse kabhī zabāñ se kabhī nazar se
jo baat lab tak na aa sakī thī nazar ne kah dī mirī nazar se
ye kis ne phir sāz-e-dil pe mere na.ī umañgoñ ke raag chheḌe
ye kis ne phir ek baar dekhā mujhe mohabbat-bharī nazar se
jo kuchh tire dil kī ho tamannā vahī mire dil kī aarzū hai
jahāñ kī har shai ko dekhtī haiñ mirī nigāheñ tirī nazar se
tirī mohabbat ne mujh ko har baar ik na.ī zindagī 'atā kī
ki dil ne har baar tujh ko dekhā na.ī tamannā na.ī nazar se
na jaane kitnī judā.iyoñ ke uThā.e sadme dil-e-hazīñ ne
na jaane kitnī qiyāmateñ thiiñ guzar ga.iiñ jo mirī nazar se
wafa sunati hai dil ke qisse kabhi zaban se kabhi nazar se
jo baat lab tak na aa saki thi nazar ne kah di meri nazar se
ye kis ne phir saz-e-dil pe mere nai umangon ke rag chheDe
ye kis ne phir ek bar dekha mujhe mohabbat-bhari nazar se
jo kuchh tere dil ki ho tamanna wahi mere dil ki aarzu hai
jahan ki har shai ko dekhti hain meri nigahen teri nazar se
teri mohabbat ne mujh ko har bar ek nai zindagi 'ata ki
ki dil ne har bar tujh ko dekha nai tamanna nai nazar se
na jaane kitni judaiyon ke uThae sadme dil-e-hazin ne
na jaane kitni qiyamaten thin guzar gain jo meri nazar se
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 218)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.