ye rangini-e-nau-bahaar allah-allah
Interesting Fact
حضرت امیر خسرو کی ایک فارسی غزل کا منظوم ترجمہ
ye rañgīnī-e-nau-bahār allāh-allāh
ye jām-e-mai-e-ḳhush-gavār allāh-allāh
idhar haiñ nazar meñ nazāre chaman ke
udhar rū-ba-rū rū-e-yār allāh-allāh
idhar jalva-e-muztarib tauba-tauba
idhar ye dil-e-be-qarār allāh-allāh
vo lab haiñ ki hai vajd meñ mauj-e-kausar
vo zulfeñ haiñ yā ḳhuld-zār allāh-allāh
maiñ is hālat-e-hosh meñ mast-o-be-ḳhud
vo mastī meñ bhī hoshiyār allāh-allāh
ye rangini-e-nau-bahaar allah-allah
ye jam-e-mai-e-KHush-gawar allah-allah
idhar hain nazar mein nazare chaman ke
udhar ru-ba-ru ru-e-yar allah-allah
idhar jalwa-e-muztarib tauba-tauba
idhar ye dil-e-be-qarar allah-allah
wo lab hain ki hai wajd mein mauj-e-kausar
wo zulfen hain ya KHuld-zar allah-allah
main is haalat-e-hosh mein mast-o-be-KHud
wo masti mein bhi hoshiyar allah-allah
- Book : Kulliyat-e-Sufi Tabassum (Pg. 383)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.