qaf se bhi dur ek mulk-e-suleman aur hai
qaaf se bhī duur ik mulk-e-sulemāñ aur hai
maiñ huuñ dīvāna jahāñ kā vo paristāñ aur hai
maiñ huuñ ghā.il jis kā vo shamshīr-e-burrāñ aur hai
maiñ nishāna jis kā huuñ vo tīr-e-mizhgāñ aur hai
kyā haiñ ye kyā naaz naḳhre un butoñ ke zāhido
jis ke maare ham haiñ vo nāz-e-hasīna aur hai
ḳhuub samjhe tarjumān-e-dil jo ashkoñ ne kiyā
pūchhte haiñ ham se ban ban ke kuchh armāñ aur hai
haiñ tan-e-tanhā dam-e-naqd-e-'āshiq-e-sultān-e-'alī
paas kuchh rakhtā nahīñ ḳhātir pareshāñ aur hai
qaf se bhi dur ek mulk-e-suleman aur hai
main hun diwana jahan ka wo paristan aur hai
main hun ghail jis ka wo shamshir-e-burran aur hai
main nishana jis ka hun wo tir-e-mizhgan aur hai
kya hain ye kya naz naKHre un buton ke zahido
jis ke mare hum hain wo naz-e-hasina aur hai
KHub samjhe tarjuman-e-dil jo ashkon ne kiya
puchhte hain hum se ban ban ke kuchh arman aur hai
hain tan-e-tanha dam-e-naqd-e-'ashiq-e-sultan-e-'ali
pas kuchh rakhta nahin KHatir pareshan aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.