tujhko hi faqat hamd saza-war hai ya-rab
tujh ko hī faqat hamd sazā-vār hai yā-rab
ma.abūd ḳhalā.iq hai tū ġhaffār hai yā-rab
yaktā hai tū aur zāt-e-ahad phir ye tamāsha
bas tuuhī jahāñ dekhiye do chaar hai yārab
'ālam hai vo hairat-kada ā.īne kī mānind
hairān har ik ġhāfil-o-hushyār hai yā rab
kahte haiñ use chashm-e-basīrat ki vo dekhe
maz.har meñ terī zaat kā iz.hār hai yā-rab
vahdat meñ ye kasrat ke tamāshe kā mu’amma
khultā nahīñ is tarah kā asrār hai yā-rab
behosh huā nashsha-e-ulfat meñ jo tere
haiñ hosh isī ko vo hushiyār hai yā-rab
rahmat kā bharosā hai tirī varna jahāñ meñ
jis shaḳhs ko dekhā vo gunahgār hai yā-rab
dekhūñ to maiñ hairāñ huuñ ki kyūñki tujhe dekhūñ
merī hī ḳhudī mān’e-e-dīdār hai yā-rab
mujh se bhī siyāh-kār ko baḳhshe to 'ajab kyā
mustaġhnī-e-zātī tirī sarkār hai yā-rab
mansūr kī mānind kabhī maiñ bhī chaḌhūñgā
ziina hī tire baam kā kirdār hai yā-rab
rahmat kī nazar us pe bhī ho jaaye kisī roz
ye 'meher' tamannā-e-dīdār hai yā-rab
tujh ko hi faqat hamd saza-war hai ya-rab
mabud KHalaiq hai tu ghaffar hai ya-rab
yakta hai tu aur zat-e-ahad phir ye tamasha
bas tuhi jahan dekhiye do chaar hai yarab
'alam hai wo hairat-kada aaine ki manind
hairan har ek ghafil-o-hushyar hai ya rab
kahte hain use chashm-e-basirat ki wo dekhe
mazhar mein teri zat ka izhaar hai ya-rab
wahdat mein ye kasrat ke tamashe ka mu’amma
khulta nahin is tarah ka asrar hai ya-rab
behosh hua nashsha-e-ulfat mein jo tere
hain hosh isi ko wo hushiyar hai ya-rab
rahmat ka bharosa hai teri warna jahan mein
jis shaKHs ko dekha wo gunahgar hai ya-rab
dekhun to main hairan hun ki kyunki tujhe dekhun
meri hī KHudi man’e-e-didar hai ya-rab
mujh se bhi siyah-kar ko baKHshe to 'ajab kya
mustaghni-e-zati teri sarkar hai ya-rab
mansur ki manind kabhi main bhi chaDhunga
zina hi tere baam ka kirdar hai ya-rab
rahmat ki nazar us pe bhi ho jaye kisi roz
ye 'meher' tamanna-e-didar hai ya-rab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.