jala dun ranj ke KHirman ko wo sharara hun
jalā duuñ rañj ke ḳhirman ko vo sharāra huuñ
sip.har josh-e-masarrat kā maiñ sitāra huuñ
na jis kī thaah mile bahar-e-be-kanār huuñ maiñ
kināra jis se kare 'aql vo kināra huuñ
maiñ ḳhud zamīn-o-zamān huuñ maiñ aap kaun-o-makāñ
ye kā.ināt nahīñ maiñ hī sab nazāra huuñ
mere hī saañs haiñ ai dost āñdhiyāñ kaisī
pasīna bahr hai go nuur kā sharāra huuñ
jigar ho chaak falak kā zamīñ ko jumbish ho
kHurosh-o-josh meñ dam-bhar jo āshkāra huuñ
valī huuñ murshid-e-kāmil aur nabī huuñ maiñ
nahīñ maiñ sirr-e-ḳhafī balki āshkārā huuñ
mirā hī husn huā mun.akis hasīnoñ meñ
maiñ mehr-e-mashriq-e-kHūbī huuñ māh-pāra huuñ
bharā huā hai rag-o-pai meñ mire naġhma dost
hamesha bajtā hī rahtā huuñ vo do taara huuñ
ġhizā-e-rūh huuñ maiñ aur lutf-e-mausīqī
sitārah-o-bain-o-duf-o-chañg aur chikārā huuñ
mujhī se nasr hai nāsir kī nazm nāzim kī
suḳhan meñ lutf huuñ tashbīh-o-isti'āra huuñ
mujhī ko kahte haiñ aksīr-e-kīmiyā gar sab
koī na maar sakā jis ko maiñ vo paara huuñ
talāsh kis kī ho maiñ ḳhud huuñ manzil-e-maqsūd
rachā huuñ diid kī qur.ān kā sipārā huuñ
suḳhan meñ rahtā huuñ maġhz-e-suḳhan kī tarah se 'meher'
maiñ gosh sāme’-e-dānā kā goshvāra huuñ
jala dun ranj ke KHirman ko wo sharara hun
siphar josh-e-masarrat ka main sitara hun
na jis ki thah mile bahar-e-be-kanar hun main
kinara jis se kare 'aql wo kinara hun
main KHud zamin-o-zaman hun main aap kaun-o-makan
ye kainat nahin main hi sab nazara hun
mere hi sans hain ai dost aandhiyan kaisi
pasina bahr hai go nur ka sharara hun
jigar ho chaak falak ka zamin ko jumbish ho
kHurosh-o-josh mein dam-bhar jo aashkara hun
wali hun murshid-e-kaamil aur nabi hun main
nahin main sirr-e-KHafi balki aashkara hun
mera hi husn hua munakis hasinon mein
main mehr-e-mashriq-e-kHubi hun mah-para hun
bhara hua hai rag-o-pai mein mere naghma dost
hamesha bajta hi rahta hun wo do tara hun
ghiza-e-ruh hun main aur lutf-e-mausiqi
sitarah-o-bain-o-duf-o-chang aur chikara hun
mujhi se nasr hai nasir ki nazm nazim ki
suKHan mein lutf hun tashbih-o-isti'ara hun
mujhi ko kahte hain aksir-e-kimiya gar sab
koi na mar saka jis ko main wo para hun
talash kis ki ho main KHud hun manzil-e-maqsud
racha hun did ki quran ka sipara hun
suKHan mein rahta hun maghz-e-suKHan ki tarah se 'meher'
main gosh same’-e-dana ka goshwara hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.