haram-e-dil mein makin tha mujhe malum na tha
haram-e-dil meñ makīñ thā mujhe ma.alūm na thā
vo rag-e-jāñ se qarīñ thā mujhe ma.alūm na thā
maiñ judā.ī meñ taḌaptā thā ḳhatā thī merī
us kā har naaz hasīñ thā mujhe ma.alūm na thā
'umr-bhar zohra-jabīnoñ kā bharā dam be-kār
maiñ bhī ḳhud māh-jabīñ thā mujhe ma.alūm na thā
maiñ samajhtā thā ki vo duur hai mujh se lekin
mujh se bhī mere qarīñ thā mujhe ma.alūm na thā
dil se parda jo uThā ho ga.iiñ raushan āñkheñ
dil meñ vo parda-nashīñ thā mujhe ma.alūm na thā
maiñ kahīñ huuñ vo kahīñ hai ye gumāñ thā mujh ko
maiñ jahāñ thā vo vahīñ thā mujhe ma.alūm na thā
dīn-o-duniyā kī talab kyā thī tilism-e-bātil
ḳhud maiñ duniyā thā maiñ diiñ thā mujhe ma.alūm na thā
'umr-bhar jis ke tajassus meñ rahā sar-gardāñ
aap hī meñ vo hasīñ thā mujhe ma.alūm na thā
kHvāhish-e-ḳhuld-e-barīñ hī thī jhamelā ‘nirmal’
ḳhud hī dil ḳhuld-e-barīñ thā mujhe ma.alūm na thā
haram-e-dil mein makin tha mujhe malum na tha
wo rag-e-jaan se qarin tha mujhe malum na tha
main judai mein taDapta tha KHata thi meri
us ka har naz hasin tha mujhe malum na tha
'umr-bhar zohra-jabinon ka bhara dam be-kar
main bhi KHud mah-jabin tha mujhe malum na tha
main samajhta tha ki wo dur hai mujh se lekin
mujh se bhi mere qarin tha mujhe malum na tha
dil se parda jo uTha ho gain raushan aankhen
dil mein wo parda-nashin tha mujhe malum na tha
main kahin hun wo kahin hai ye guman tha mujh ko
main jahan tha wo wahin tha mujhe malum na tha
din-o-duniya ki talab kya thi tilism-e-baatil
KHud main duniya tha main din tha mujhe malum na tha
'umr-bhar jis ke tajassus mein raha sar-gardan
aap hi mein wo hasin tha mujhe malum na tha
kHwahish-e-KHuld-e-barin hi thi jhamela ‘nirmal’
KHud hi dil KHuld-e-barin tha mujhe malum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.