kabhi saya kabhi parda kabhi jalwa samajhte hain
kabhī saaya kabhī parda kabhī jalva samajhte haiñ
na jaane log tujh ko aur bhī kyā kyā samjhe haiñ
vo koī aur haiñ duniyā ko jo duniyā samajhte haiñ
jo raushan-dil haiñ vo us ko tamāsha sā samajhte haiñ
kabhī gulshan samajhte haiñ kabhī sahrā samajhte haiñ
tamāsha hai ye 'ālam ham use kyā kyā samajhte haiñ
vo jalva hai to yaktā ham jise husn-e-tayaqqun se
kabhī but-ḳhāna kahte haiñ kabhī ka.aba samajhte haiñ
haqīqat to bas itnī hai haqīqat ḳhud haqīqat hai
ta.ajjub hai use ahl-e-ġharaz kyā kyā samajhte haiñ
gulistāñ ban ga.iiñ āñkheñ kisī gul-ruḳh ke jalve se
jo kāñTā hai use bhī ham gul-e-ra.anā samajhte haiñ
nujūm-o-kahkashāñ kyā haiñ ġhubār-e-jāda-e-manzil
mah-o-ḳhurshīd ko ham apnā naqsh-e-pā samajhte haiñ
ye husn-e-zan hai husn-e-fikr hai husn-e-taḳhyyul hai
jo gul ko jām-e-mai ġhunche ko ham miinā samajhte haiñ
kabhī qatre ko bhī dariyā samajh kar Duub jaate haiñ
magar nirmal ham ab dariyā ko bhī qatra samajhte haiñ
kabhi saya kabhi parda kabhi jalwa samajhte hain
na jaane log tujh ko aur bhi kya kya samjhe hain
wo koi aur hain duniya ko jo duniya samajhte hain
jo raushan-dil hain wo us ko tamasha sa samajhte hain
kabhi gulshan samajhte hain kabhi sahra samajhte hain
tamasha hai ye 'alam hum use kya kya samajhte hain
wo jalwa hai to yakta hum jise husn-e-tayaqqun se
kabhi but-KHana kahte hain kabhi kaba samajhte hain
haqiqat to bas itni hai haqiqat KHud haqiqat hai
tajjub hai use ahl-e-gharaz kya kya samajhte hain
gulistan ban gain aankhen kisi gul-ruKH ke jalwe se
jo kanTa hai use bhi hum gul-e-rana samajhte hain
nujum-o-kahkashan kya hain ghubar-e-jada-e-manzil
mah-o-KHurshid ko hum apna naqsh-e-pa samajhte hain
ye husn-e-zan hai husn-e-fikr hai husn-e-taKHyyul hai
jo gul ko jam-e-mai ghunche ko hum mina samajhte hain
kabhi qatre ko bhi dariya samajh kar Dub jate hain
magar nirmal hum ab dariya ko bhi qatra samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.