ye sair kya hai ajab anokha ki ram mujh mein main ram mein hun
ye sair kya hai ajab anokha ki ram mujh mein main ram mein hun
Swami Rama Tirtha
MORE BYSwami Rama Tirtha
ye sair kyā hai 'ajab anokhā ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
baġhair sūrat 'ajab hai jalva ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
muraqqa.a husn-o-’ishq huuñ maiñ mujhī meñ rāz-o-niyāz sab haiñ
hoñ apnī sūrat ye aap shaidā ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
zamāna ā.īna-e-rām kā hai har ek sūrat se hai vo paidā
jo chashm-e-haq-bīñ khulī to dekhā ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
vo mujh se har rañg meñ milā hai ki gul se bū bhī kabhī judā hai
habāb-o-dariyā kā hai tamāsha ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
sabab batā.ūñ maiñ vajd kā kyā hai kyā jo dar-parda dekhtā huuñ
sadā ye har saaz se hai paidā ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
basā hai mere dil meñ vo dilbar hai ā.īna meñ ḳhud ā.īna gar
'ajab tahayyur huā ye kaisā ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
maqām pūchho to lā-makāñ thā na raam meñ thā na maiñ vahāñ thā
liyā jo karvaT to hosh aayā ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
'alattavātur hai paak jalva ki dil banā barq-e-sīna
taḌap ke dil yuuñ pukār uThā ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
jahāz dariyā meñ aur dariyā jahāz meñ bhī to dekhiye aaj
ye jism kashtī hai raam dariyā hai ki raam mujh meñ maiñ raam meñ huuñ
ye sair kya hai 'ajab anokha ki ram mujh mein main ram mein hun
baghair surat 'ajab hai jalwa ki ram mujh mein main ram mein hun
muraqqa husn-o-’ishq hun main mujhi mein raaz-o-niyaz sab hain
hon apni surat ye aap shaida ki ram mujh mein main ram mein hun
zamana aaina-e-ram ka hai har ek surat se hai wo paida
jo chashm-e-haq-bin khuli to dekha ki ram mujh mein main ram mein hun
wo mujh se har rang mein mila hai ki gul se bu bhi kabhi juda hai
habab-o-dariya ka hai tamasha ki ram mujh mein main ram mein hun
sabab bataun main wajd ka kya hai kya jo dar-parda dekhta hun
sada ye har saz se hai paida ki ram mujh mein main ram mein hun
basa hai mere dil mein wo dilbar hai aaina mein KHud aaina gar
'ajab tahayyur hua ye kaisa ki ram mujh mein main ram mein hun
maqam puchho to la-makan tha na ram mein tha na main wahan tha
liya jo karwaT to hosh aaya ki ram mujh mein main ram mein hun
'alattawatur hai pak jalwa ki dil bana barq-e-sina
taDap ke dil yun pukar uTha ki ram mujh mein main ram mein hun
jahaz dariya mein aur dariya jahaz mein bhi to dekhiye aaj
ye jism kashti hai ram dariya hai ki ram mujh mein main ram mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.