kalid-e-ishq ki sina ko dijiye to sahi
kalīd-e-'ishq kī siina ko dījiye to sahī
machā ke luuT kabhī sair kījiye to sahī
karo shahīd ḳhudī ke savār ko ro kar
ye jism-e-duldul-e-be-yār kījiye to sahī
jalā ke kHāna-o-asbāb misl-e-nīrū ke
mazā surūd ke shāloñ kā lījiye to sahī
hai ḳhum to mai se labālab ye tishna-kāmī kyuuñ
lo toḌ mohr-e-ḳhudī mai bhī pīji.e to sahī
uḌā patañg mohabbat kā charḳh se bhī duur
ḳhirad kī dauḌ ko ab chhoḌ dījiye to sahī
mazā dikhā.eñge jo kah do raam maiñ hī huuñ
zamīñ zamāñ ko bhī yuuñ 'rām' kījiye to sahī
kalid-e-'ishq ki sina ko dijiye to sahi
macha ke luT kabhi sair kijiye to sahi
karo shahid KHudi ke sawar ko ro kar
ye jism-e-duldul-e-be-yar kijiye to sahi
jala ke kHana-o-asbab misl-e-niru ke
maza surud ke shaalon ka lijiye to sahi
hai KHum to mai se labaalab ye tishna-kaami kyun
lo toD mohr-e-KHudi mai bhi pijie to sahi
uDa patang mohabbat ka charKH se bhi dur
KHirad ki dauD ko ab chhoD dijiye to sahi
maza dikhaenge jo kah do ram main hi hun
zamin zaman ko bhi yun 'ram' kijiye to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.