teri mere swami ye banki ada hai
terī mere svāmī ye bāñkī adā hai
kahīñ daas hai to kahīñ ḳhud ḳhudā hai
kahīñ kirshn hai to kahīñ raam hai tū
kahīñ sañgī hai to kahīñ tū judā hai
pilāyā hai jab se mujhe jaam tū ne
merī aañkh meñ kyā nayā gul khilā hai
tire 'ishq ke bahr meñ mast huuñ maiñ
baqā meñ fanā hai fanā meñ baqā hai
munazzah terī zaat tashbīh se fāriġh
magar rañg tashbīh kā tujh par chaḌhā hai
nazārā terā 'rām' har jā pe dekhūñ
har ik naġhma ai jaañ terī sadā hai
teri mere swami ye banki ada hai
kahin das hai to kahin KHud KHuda hai
kahin kirshn hai to kahin ram hai tu
kahin sangi hai to kahin tu juda hai
pilaya hai jab se mujhe jam tu ne
meri aankh mein kya naya gul khila hai
tere 'ishq ke bahr mein mast hun main
baqa mein fana hai fana mein baqa hai
munazzah teri zat tashbih se farigh
magar rang tashbih ka tujh par chaDha hai
nazara tera 'ram' har ja pe dekhun
har ek naghma ai jaan teri sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.