dil-e-shaida ko jis ne turra-e-dastar se bandha
dil-e-shaidā ko jis ne turra-e-dastār se bāñdhā
goyā mansūr ko be-resmān-e-dār se bāñdhā
karegā qatl ham ko ek din ye nāvak-e-mizhgāñ
hamārā ḳhuuñ muqaddar ne tire sūfār se bāñdhā
ba-gulzār-e-jahāñ rañgīñ mizājoñ ko rahā khaTkā
takalluf kī nahīñ jā dāman-e-gul ḳhaar se bāñdhā
na bāñdhā dil kabhī zāhid ne ma.ashūq-e-haqīqī se
vale har vaqt sar ko gosha-e-dastār se bāñdhā
ba-sū-e-bulbul-o-parvāna dekho chashm-e-’ibrat se
kisī ko nuur se bāñdhā kisī ko naar se bāñdhā
qiyāmat tak uThā sakte nahīñ ham sar ko sajda se
ḳhat-e-peshānī apnā āstān-e-yār se bāñdhā
lagī phirtī hai saaya kī tarah har lahza qadmoñ se
sar-e-duniyā ko ahlullāh ne paizār se bāñdhā
dil āshiq-e-javāhar ḳhāna-e-taqdīr hai shāyad
ki sad.hā motiyoñ ko āñsuoñ ke taar se bāñdhā
ta.ashshuq bhī 'ajab shai hai ki chandīñ shaiḳh sāhib ko
qazā-e-āsmāñ ne rishta-e-zunnār se bāñdhā
kyā duniyā ko 'itr-āgīñ jo apnī mushk-e-ambar se
magar 'sayyad' ne da.avā nāfa-e-tātār se bāñdhā
dil-e-shaida ko jis ne turra-e-dastar se bandha
goya mansur ko be-resman-e-dar se bandha
karega qatl hum ko ek din ye nawak-e-mizhgan
hamara KHun muqaddar ne tere sufar se bandha
ba-gulzar-e-jahan rangin mizajon ko raha khaTka
takalluf ki nahin ja daman-e-gul KHar se bandha
na bandha dil kabhi zahid ne mashuq-e-haqiqi se
wale har waqt sar ko gosha-e-dastar se bandha
ba-su-e-bulbul-o-parwana dekho chashm-e-’ibrat se
kisi ko nur se bandha kisi ko nar se bandha
qiyamat tak uTha sakte nahin hum sar ko sajda se
KHat-e-peshani apna aastan-e-yar se bandha
lagi phirti hai saya ki tarah har lahza qadmon se
sar-e-duniya ko ahlullah ne paizar se bandha
dil aashiq-e-jawahar KHana-e-taqdir hai shayad
ki sadha motiyon ko aansuon ke tar se bandha
tashshuq bhi 'ajab shai hai ki chandin shaiKH sahib ko
qaza-e-asman ne rishta-e-zunnar se bandha
kya duniya ko 'itr-agin jo apni mushk-e-ambar se
magar 'sayyad' ne dawa nafa-e-tatar se bandha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.