KHayal aaya jo us mah-ru ko gul-gasht-e-kHiyaban ka
KHayal aaya jo us mah-ru ko gul-gasht-e-kHiyaban ka
Syed Ali Kaithli
MORE BYSyed Ali Kaithli
ḳhayāl aayā jo us mah-rū ko gul-gasht-e-kHiyābāñ kā
nazar kuchh aur hī aane lagā 'ālam-e-gulistāñ kā
fanā aur mahv ho gar ārzū-e-qurb hai tujh ko
kamāl-e-'ilm sarf-o-nahv se kyā faḳhr-e-insāñ kā
tirī sūrat ko dekh ai ma.adan kHūbī-e-tahayyur se
sar-e-bāzār patthar ban gayā lā'l-e-badaḳhshāñ kā
nikal saktā nahīñ pechīda-dām husn-o-mahbūbī
baḌā hī pech-kāmil hai ’azīz-o-zulf-e-kāmil kā
hisār-e-’āfiyat se mat qadam bāhar nikāl apnā
ki tifl-e-ashk-e-abtar chhoḌ kar ho saaya mizhgāñ kā
’azāb-e-gor kī nisbat se phir bhī aish-o-’ishrat hai
agarche dahr meñ mohtāj hai tū ik lab-e-nāñ kā
rifāqat apnī kyūñ-kar zāhid ḳhud kaam se hove
maiñ kū-e-yār kā tālib huuñ vo mushtāq-e-rizvāñ kā
shabīh-e-'āshiq-e-muztar ko dekh ai koh-e-rā'nā.ī
agar manzūr hai tujh ko tamāshā sañg-e-larzāñ kā
buzurgoñ kā ḳhafā honā bhī shafqat se nahīñ ḳhālī
ki garmī-e-ruḳh gardūñ-nishāñ hai abr-o-bārāñ kā
bilā paik-e-ilāhī hai na ho chīñ-bar-jabīñ us se
kare kab shukr pesh-e-haq dil-e-ranjīda mehmāñ kā
vasīla ambiyā aur auliyā kā bhī 'ajab shai hai
na dekhā dostān-e-nūh ne kuchh ḳhauf tūfāñ kā
vo be-dānish haiñ jo kHurshīd-e-'ālam-tāb kahte haiñ
ye sho.ala hai kisī 'āshiq kī aah ātish-afshāñ kā
dil-e-dīvāna apne paañv phailā.e to kyā 'sayyad'
bahut hī muḳhtasar hai dosto dāman bayābāñ kā
KHayal aaya jo us mah-ru ko gul-gasht-e-kHiyaban ka
nazar kuchh aur hi aane laga 'alam-e-gulistan ka
fana aur mahw ho gar aarzu-e-qurb hai tujh ko
kamal-e-'ilm sarf-o-nahw se kya faKHr-e-insan ka
teri surat ko dekh ai madan kHubi-e-tahayyur se
sar-e-bazar patthar ban gaya la'l-e-badaKHshan ka
nikal sakta nahin pechida-dam husn-o-mahbubi
baDa hi pech-kaamil hai ’aziz-o-zulf-e-kaamil ka
hisar-e-’afiyat se mat qadam bahar nikal apna
ki tifl-e-ashk-e-abtar chhoD kar ho saya mizhgan ka
’azab-e-gor ki nisbat se phir bhi aish-o-’ishrat hai
agarche dahr mein mohtaj hai tu ek lab-e-nan ka
rifaqat apni kyun-kar zahid KHud kaam se howe
main ku-e-yar ka talib hun wo mushtaq-e-rizwan ka
shabih-e-'ashiq-e-muztar ko dekh ai koh-e-ra'nai
agar manzur hai tujh ko tamasha sang-e-larzan ka
buzurgon ka KHafa hona bhi shafqat se nahin KHali
ki garmi-e-ruKH gardun-nishan hai abr-o-baran ka
bila paik-e-ilahi hai na ho chin-bar-jabin us se
kare kab shukr pesh-e-haq dil-e-ranjida mehman ka
wasila ambiya aur auliya ka bhi 'ajab shai hai
na dekha dostan-e-nuh ne kuchh KHauf tufan ka
wo be-danish hain jo kHurshid-e-'alam-tab kahte hain
ye shoala hai kisi 'ashiq ki aah aatish-afshan ka
dil-e-diwana apne panw phailae to kya 'sayyad'
bahut hi muKHtasar hai dosto daman bayaban ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.