phansa jab se dil-e-shaida sanam ki zulf-e-pechan mein
phansa jab se dil-e-shaida sanam ki zulf-e-pechan mein
Syed Ali Kaithli
MORE BYSyed Ali Kaithli
phañsā jab se dil-e-shaidā sanam kī zulf-e-pechāñ meñ
basar hotī hai har shab ek hī ḳhvāb-e-pareshāñ meñ
kahāñ hai vo mazā ai bāġhbāñ sair-e-gulistāñ meñ
latāfat jo nazar aatī hai mujh ko kū-e-jānāñ meñ
bahār aa.e dil-e-sūfī pe zer-e-sāya-e-kāmil
chaman par rañg aa jaatā hai aksar abr-o-bārāñ meñ
vilāyat meñ to hazrat ke nahīñ hai mujh ko shak hargiz
va-lekin naaz az bas thā janāb-e-shaiḳh-e-san.āñ meñ
agar ye reḳhta sayyad koī mash.had meñ le jaa.e
tayaqqun hai ki shohrat-yāfta ho mulk-e-īrāñ meñ
phansa jab se dil-e-shaida sanam ki zulf-e-pechan mein
basar hoti hai har shab ek hi KHwab-e-pareshan mein
kahan hai wo maza ai baghban sair-e-gulistan mein
latafat jo nazar aati hai mujh ko ku-e-jaanan mein
bahaar aae dil-e-sufi pe zer-e-saya-e-kaamil
chaman par rang aa jata hai aksar abr-o-baran mein
wilayat mein to hazrat ke nahin hai mujh ko shak hargiz
wa-lekin naz az bas tha janab-e-shaiKH-e-sanan mein
agar ye reKHta sayyad koi mashhad mein le jae
tayaqqun hai ki shohrat-yafta ho mulk-e-iran mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.