KHub rangat teri ai duniya-e-fani dekh li
ḳhuub rañgat terī ai duniyā-e-fānī dekh lī
'ālam-e-pīrī bhī dekhā aur javānī dekh lī
zaat aqdas ke tavassul kā bahāna aur hai
'ilm-e-mantiq bhī paḌhā ham ne ma.anī dekh lī
bazm-e-rañgīñ se mujhe tuune nikālā chand baar
ham ne terī ai sanam ye mehrbānī dekh lī
kuchh nahīñ hāsil ba-juz tan-parvarī-o-farbahī
nafs-e-kāfir ne bahut sī kāmrānī dekh lī
ban ga.e tasvīr kī sūrat shabīh-e-yār se
terī san.at ham ne ai bahzād-o-mā’nī dekh lī
ba.ad-e-marg aatā nahīñ bahr-e-ziyārat bhī kabhī
bevafā.ī dekh lī aur bad-gumānī dekh lī
aish-e-duniyā par na ho nāzāñ tū ai 'sayyad' kabhī
chand sā'at har bashar ne shādmānī dekh lī
KHub rangat teri ai duniya-e-fani dekh li
'alam-e-piri bhi dekha aur jawani dekh li
zat aqdas ke tawassul ka bahana aur hai
'ilm-e-mantiq bhi paDha hum ne mani dekh li
bazm-e-rangin se mujhe tune nikala chand bar
hum ne teri ai sanam ye mehrbani dekh li
kuchh nahin hasil ba-juz tan-parwari-o-farbahi
nafs-e-kafir ne bahut si kaamrani dekh li
ban gae taswir ki surat shabih-e-yar se
teri sanat hum ne ai bahzad-o-ma’ni dekh li
baad-e-marg aata nahin bahr-e-ziyarat bhi kabhi
bewafai dekh li aur bad-gumani dekh li
aish-e-duniya par na ho nazan tu ai 'sayyad' kabhi
chand sa'at har bashar ne shadmani dekh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.