tarik sham hai chaman-e-rozgar ki
tārīk shaam hai chaman-e-rozgār kī
lā de koī ga.ī huī sub.heñ bahār kī
hai sub.h-e-hashr dhuum hai dīdār-e-yār kī
aur mujh pe kaifiyat hai vahī intizār kī
shohrat hai mere pairahan-e-tār-tār kī
ye sab ināyateñ haiñ havā-e-bahār kī
parvā nahīñ mujhe ġham-e-himmat shikār kī
khelā huuñ god meñ sitam-e-rozgār kī
donoñ nazar fareb-o-fareb-e-nigāh the
merā shabāb aur javānī bahār kī
'sīmāb' ehtijāj kHilāf-e-ġham-o-kHushī
tauhīn hai mashiyyat-e-parvardigār kī
tarik sham hai chaman-e-rozgar ki
la de koi gai hui subhen bahaar ki
hai subh-e-hashr dhum hai didar-e-yar ki
aur mujh pe kaifiyat hai wahi intizar ki
shohrat hai mere pairahan-e-tar-tar ki
ye sab inayaten hain hawa-e-bahaar ki
parwa nahin mujhe gham-e-himmat shikar ki
khela hun god mein sitam-e-rozgar ki
donon nazar fareb-o-fareb-e-nigah the
mera shabab aur jawani bahaar ki
'simab' ehtijaj kHilaf-e-gham-o-kHushi
tauhin hai mashiyyat-e-parwardigar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.