mujhko didar ki KHwahish na thi un ke ruKH se naqab un ka kyun haT gaya
mujhko didar ki KHwahish na thi un ke ruKH se naqab un ka kyun haT gaya
Tabish Kanpuri
MORE BYTabish Kanpuri
Interesting Fact
فلم ’’سن آف انڈیا‘‘ بطرز ’’آج چھیڑو محبت کی شہنائیاں‘‘ یوسف آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
mujh ko dīdār kī ḳhvāhish na thī un ke ruḳh se naqāb un kā kyuuñ haT gayā
maiñ to buzdil thā dil thā mirā sher-dil samjhāyā dīdār pe DaT gayā
pyaas dil kī bujhāne chale magar apnī manzil se aage ga.e ham nikal
ye junūñ dekh kar dil ne āvāz dī aur aage kahāñ un kā panghaT gayā
aap sukūñ kī jhanakār par the fidā aur mirī jeb meñ koī sikka na thā
maiñ tahī-dast thā kyūñki fankār thā is liye aap kī raah se haT gayā
zindagī bhar use bhuul saktā nahīñ hukm farmā.iye to sunā duuñ abhī
aap ne jo paḌhāyā thā mujh ko sabaq achchhī tarah vo sabaq raT gayā
mere mahbūb to narm-dil hai bahut merī furqat kā ġham sah sakegī na tū
maiñ na kahtā thā merī kahānī na sun āḳhir kaleja tirā phaT gayā
mujh ko didar ki KHwahish na thi un ke ruKH se naqab un ka kyun haT gaya
main to buzdil tha dil tha mera sher-dil samjhaya didar pe DaT gaya
pyas dil ki bujhane chale magar apni manzil se aage gae hum nikal
ye junun dekh kar dil ne aawaz di aur aage kahan un ka panghaT gaya
aap sukun ki jhanakar par the fida aur meri jeb mein koi sikka na tha
main tahi-dast tha kyunki fankar tha is liye aap ki rah se haT gaya
zindagi bhar use bhul sakta nahin hukm farmaiye to suna dun abhi
aap ne jo paDhaya tha mujh ko sabaq achchhi tarah wo sabaq raT gaya
mere mahbub to narm-dil hai bahut meri furqat ka gham sah sakegi na tu
main na kahta tha meri kahani na sun aaKHir kaleja tera phaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.