is baat pe kyun naraaz bhala sarkar hamare hote hain
Interesting Fact
یوسف آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
is baat pe kyuuñ nārāz bhalā sarkār hamāre hote haiñ
hotā hai jahāñ par chāñd vahāñ do chaar sitāre hote haiñ
karatā huuñ tilāvat maiñ un kī ye 'ishq ke farz meñ dāḳhil hai
suntā huuñ hasīnoñ ke chehre to chāñd se pyāre hote haiñ
ḳhud paas to vo aate hī nahīñ taskīn magar dete haiñ yuuñ
rūmāl hilā.e jaate haiñ chilman se ishāre hote haiñ
ham-rañg agar piite haiñ to kyā is kaalī ghaTā ke mausam meñ
vaa.iz bhī to apnī tauba ko shīshe meñ utāre hote haiñ
māñgo na kisī insāñ se kabhī insāñ to hai ḳhud muhtāj-e-ḳhudā
bantī hai inhīñ kī bigḌī jo allāh ke sahāre hote haiñ
mallāh ke bal par kashtī ko mat chhoḌ vo dhokā de degā
jo quvvat-e-bāzū rakhte haiñ vo log kināre hote haiñ
phailāte nahīñ dāmān-e-talab kañgī pareshāniyāñ meñ huuñ
‘tābish’-e-kHuddār insānoñ ke aise bhī guzāre hote haiñ
is baat pe kyun naraaz bhala sarkar hamare hote hain
hota hai jahan par chand wahan do chaar sitare hote hain
karata hun tilawat main un ki ye 'ishq ke farz mein daKHil hai
sunta hun hasinon ke chehre to chand se pyare hote hain
KHud pas to wo aate hi nahin taskin magar dete hain yun
rumal hilae jate hain chilman se ishaare hote hain
ham-rang agar pite hain to kya is kali ghaTa ke mausam mein
waiz bhi to apni tauba ko shishe mein utare hote hain
mango na kisi insan se kabhi insan to hai KHud muhtaj-e-KHuda
banti hai inhin ki bigDi jo allah ke sahaare hote hain
mallah ke bal par kashti ko mat chhoD wo dhoka de dega
jo quwwat-e-bazu rakhte hain wo log kinare hote hain
phailate nahin daman-e-talab kangi pareshaniyan mein hun
‘tabish’-e-kHuddar insanon ke aise bhi guzare hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.