tu ne ai ham-safar pher li jo nazar waqt se peshtar hum to mar jaenge
tu ne ai ham-safar pher li jo nazar waqt se peshtar hum to mar jaenge
Tabish Kanpuri
MORE BYTabish Kanpuri
Interesting Fact
فلم ’’سن آف انڈیا‘‘ بطرز ’’چل دئیے دے کے غم‘‘ یوسف آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
tū ne ai ham-safar pher lī jo nazar vaqt se peshtar ham to mar jā.eñge
zulm aisā na kar kuchh ḳhudā se to Dar tere dīvāne āḳhir kahāñ jā.eñge
jism se ruuh to so ga.ī hai is tarah zinda se kyā fā.eda
bā-ḳhudā ham tire 'ishq meñ dil-rubā maut ke ghaaT ik din utar jā.eñge
jis qadar de sako do hameñ ranj-o-ġham uf kareñge na hargiz ḳhudā kī qasam
tum nahīñ jānte aisā sonā haiñ ham aag meñ aur tap kar nikhar jā.eñge
qatl karne kā tujh ko baḌā shauq hai aur ham ko shahādat kā armān hai
ham tirī bazm meñ jā.eñge gar kabhī to hathelī pe lekar ye sar jā.eñge
ham sharābī haiñ lekin baḌe DhiiT haiñ koī roke to hargiz rukeñge na ham
pī ke jā.eñge saaqī tirī bazm se varna dahlīz pe terī mar jā.eñge
bāda-noshī na kījiye mire mehrbāñ baat sun lījiye mirī 'tābish' miyāñ
pīji.e to zarā soch kar pīji.e aap ke varna kapḌe utar jā.eñge
tu ne ai ham-safar pher li jo nazar waqt se peshtar hum to mar jaenge
zulm aisa na kar kuchh KHuda se to Dar tere diwane aaKHir kahan jaenge
jism se ruh to so gai hai is tarah zinda se kya faeda
ba-KHuda hum tere 'ishq mein dil-ruba maut ke ghaT ek din utar jaenge
jis qadar de sako do hamein ranj-o-gham uf karenge na hargiz KHuda ki qasam
tum nahin jaante aisa sona hain hum aag mein aur tap kar nikhar jaenge
qatl karne ka tujh ko baDa shauq hai aur hum ko shahadat ka arman hai
hum teri bazm mein jaenge gar kabhi to hatheli pe lekar ye sar jaenge
hum sharabi hain lekin baDe DhiT hain koi roke to hargiz rukenge na hum
pi ke jaenge saqi teri bazm se warna dahliz pe teri mar jaenge
baada-noshi na kijiye mere mehrban baat sun lijiye meri 'tabish' miyan
pijie to zara soch kar pijie aap ke warna kapDe utar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.