bargashta-o-bad-zan sa pate hain KHuda hafiz
Interesting Fact
یوسف آزاد قوال نے اپنی آواز دی ہے۔
bargashta-o-bad-zan sā paate haiñ ḳhudā hāfiz
ab ham tirī mahfil se jaate haiñ ḳhudā hāfiz
tālib haiñ muāfī ke gar bhuul huī ho kuchh
aa.e the salāmī ko jaate haiñ ḳhudā hāfiz
dil ham ko luTānā thā dil ham ne luTāyā hai
ye farz huā puurā jaate haiñ ḳhudā hāfiz
qismat meñ agar hogā phir tum se mileñge ham
is vaqt to majbūran jaate haiñ ḳhudā hāfiz
achchhā to miyāñ 'tābish' ruḳhsat kī ijāzat do
ik kaam se jaanā hai jaate haiñ ḳhudā hāfiz
bargashta-o-bad-zan sa pate hain KHuda hafiz
ab hum teri mahfil se jate hain KHuda hafiz
talib hain muafi ke gar bhul hui ho kuchh
aae the salami ko jate hain KHuda hafiz
dil hum ko luTana tha dil hum ne luTaya hai
ye farz hua pura jate hain KHuda hafiz
qismat mein agar hoga phir tum se milenge hum
is waqt to majburan jate hain KHuda hafiz
achchha to miyan 'tabish' ruKHsat ki ijazat do
ek kaam se jaana hai jate hain KHuda hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.