gumrah musafir hun manzil ki tamanna hai
Interesting Fact
یوسف آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
gumrāh musāfir huuñ manzil kī tamannā hai
tūfān se uljhā huuñ sāhil kī tamannā hai
us dil meñ ḳhudā bhī hai duniyā bhī hai 'uqbā bhī
jis dil meñ tumhīñ tum ho us dil kī tamannā hai
maqtal meñ kafan bāñdhe baiThā hai koī kab se
tevar ye batāte haiñ qātil kī tamannā hai
sāvan kā mahīna hai chhā.ī hai ghaTā sar par
saaqī kī zarūrat hai mahfil kī tamannā hai
bikhrā.e hue gesū aatā hai koī 'tābish'
qadmoñ se lipaT jā.ūñ ye dil kī tamannā hai
gumrah musafir hun manzil ki tamanna hai
tufan se uljha hun sahil ki tamanna hai
us dil mein KHuda bhi hai duniya bhi hai 'uqba bhi
jis dil mein tumhin tum ho us dil ki tamanna hai
maqtal mein kafan bandhe baiTha hai koi kab se
tewar ye batate hain qatil ki tamanna hai
sawan ka mahina hai chhai hai ghaTa sar par
saqi ki zarurat hai mahfil ki tamanna hai
bikhrae hue gesu aata hai koi 'tabish'
qadmon se lipaT jaun ye dil ki tamanna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.