hai dalil-e-kullo-nafsin sab fana ho jaenge
hai dalīl-e-kullo-nafsin sab fanā ho jā.eñge
ham bhī ik din rāhī-e-mulk-e-baqā ho jā.eñge
qabr hī tak saath deñge dostān-e-be-riyā
daab kar miTTī meñ sab pyāre judā ho jā.eñge
haath ḳhālī jā.eñge duniyā se daulat chhoḌ kar
maal ke mālik 'azīz-o-aqribā ho jā.eñge
pahlavān kyā kar rahe haiñ jism ke aa'zā pe naaz
qabr meñ kiiḌe makoḌe kī ġhizā ho jā.eñge
jiite jī kuchh kaam kar lo āḳhirat kā ġhāfilo
marte dam be-kār saare dast-o-pā ho jā.eñge
ho ga.e aulād se maañ baap gar mar kar judā
ḳhuld meñ ai dosto sab ek jā ho jā.eñge
dekh kar marqad meñ 'tāhir' sarvar-e-dīñ kā jamāl
'āshiq-e-jāñ-bāz qadmoñ par fidā ho jā.eñge
hai dalil-e-kullo-nafsin sab fana ho jaenge
hum bhi ek din rahi-e-mulk-e-baqa ho jaenge
qabr hi tak sath denge dostan-e-be-riya
dab kar miTTi mein sab pyare juda ho jaenge
hath KHali jaenge duniya se daulat chhoD kar
mal ke malik 'aziz-o-aqriba ho jaenge
pahlawan kya kar rahe hain jism ke aa'za pe naz
qabr mein kiDe makoDe ki ghiza ho jaenge
jite ji kuchh kaam kar lo aaKHirat ka ghafilo
marte dam be-kar sare dast-o-pa ho jaenge
ho gae aulad se man bap gar mar kar juda
KHuld mein ai dosto sab ek ja ho jaenge
dekh kar marqad mein 'tahir' sarwar-e-din ka jamal
'ashiq-e-jaan-baz qadmon par fida ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.