tamanna hai ki har dam teri surat dekhte rahte
tamannā hai ki har dam terī sūrat dekhte rahte
tū hotā sāmne ham tā qayāmat dekhte rahte
kiyā sajde meñ lā kar mujh ko kis ne kushta-e-hairat
jo hote but-kade meñ haq kī qudrat dekhte rahte
ġhulām un kā huuñ phir kyūñ-kar na mujh ko baḳhsh dete vo
vo kin āñkhoñ se baiThe merī zillat dekhte rahte
tapāñ ham ḳhud na hote beach meñ aur un kī āñkhoñ se
lagā.e TakTakī vo pyārī sūrat dekhte rahte
tamanna hai ki har dam teri surat dekhte rahte
tu hota samne hum ta qayamat dekhte rahte
kiya sajde mein la kar mujh ko kis ne kushta-e-hairat
jo hote but-kade mein haq ki qudrat dekhte rahte
ghulam un ka hun phir kyun-kar na mujh ko baKHsh dete wo
wo kin aankhon se baiThe meri zillat dekhte rahte
tapan hum KHud na hote beach mein aur un ki aankhon se
lagae TakTaki wo pyari surat dekhte rahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.