tark-e-gham gawara hai aur na gham ka yara hai
tark-e-ġham gavārā hai aur na ġham kā yaarā hai
ab to dil kī har dhaḌkan ālam-e-āshkārā hai
ham se be-sahāroñ ko aap kā sahārā hai
aap hī kī dukh sukh meñ umr bhar pukārā hai
mauj ḳhud safīna hai bahr ḳhud kinārā hai
nāḳhudā se kyā matlab jab ḳhudā hamārā hai
ho chalā yaqīn jab se vo hasīñ hamārā hai
ye ḳhush-e'timādī bhī ik baḌā sahārā hai
ye to kahiye kyā us ko aap chhoḌ sakte haiñ
jis ne marte marte bhī aap ko pukārā hai
lutf-e-bandagī tum se merī zindagī tum se
tum nahīñ to phir kis ko zindagī gavārā hai
kis ḳhatā pe jhoñkī hai ḳhaak merī āñkhoñ meñ
kyā maqām thā merā aur kahāñ utārā hai
hāsil-e-murād-e-dil chashm-e-iltifāf us kī
saarī kā.enāt apnī vo agar hamārā hai
phir isī pe marne ko jī uThūñgā mahshar meñ
phir vahī jilāe.gā jis ne mujh ko maarā hai
bach ke sab kī nazroñ se ham ne āñkhoñ āñkhoñ meñ
apne yaar kā sadqa bārhā utārā hai
ye to saaf zāhir hai ham usī ke bande haiñ
koī us se jā pūchhe vo bhī kiyā hamārā hai
jo na dekh saktā ho chaak dāmanī merī
chaak parda-e-isyāñ kab use gavārā hai
ham se pūchhiye sāhib intizār kī ghaḌiyāñ
ham ne raat kaaTī hai ham ne din guzārā hai
ik taraf tamannā.eñ ik taraf ḳhushī un kī
haaye kis dorāhe par kashmakash ne maarā hai
be-hunarī sahī lekin be-vafā nahīñ 'kāmil'
ye tumhārā banda hai aur faqat tumhārā hai
tark-e-gham gawara hai aur na gham ka yara hai
ab to dil ki har dhaDkan aalam-e-ashkara hai
hum se be-sahaaron ko aap ka sahaara hai
aap hi ki dukh sukh mein umr bhar pukara hai
mauj KHud safina hai bahr KHud kinara hai
naKHuda se kya matlab jab KHuda hamara hai
ho chala yaqin jab se wo hasin hamara hai
ye KHush-e'timadi bhi ek baDa sahaara hai
ye to kahiye kya us ko aap chhoD sakte hain
jis ne marte marte bhi aap ko pukara hai
lutf-e-bandagi tum se meri zindagi tum se
tum nahin to phir kis ko zindagi gawara hai
kis KHata pe jhonki hai KHak meri aankhon mein
kya maqam tha merā aur kahan utara hai
hasil-e-murad-e-dil chashm-e-iltifaf us ki
sari kaenat apni wo agar hamara hai
phir isi pe marne ko ji uThunga mahshar mein
phir wahi jilaega jis ne mujh ko mara hai
bach ke sab ki nazron se hum ne aankhon aankhon mein
apne yar ka sadqa barha utara hai
ye to saf zahir hai hum usi ke bande hain
koi us se ja puchhe wo bhi kiya hamara hai
jo na dekh sakta ho chaak damani meri
chaak parda-e-isyan kab use gawara hai
hum se pūchhiye sahib intizar ki ghaDiyan
hum ne raat kaTi hai hum ne din guzara hai
ek taraf tamannaen ek taraf KHushi un ki
haye kis dorahe par kashmakash ne mara hai
be-hunari sahi lekin be-wafa nahin 'kaamil'
ye tumhaara banda hai aur faqat tumhaara hai
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 270)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.