KHayal-e-ghair se jab tumko ijtinab nahin
ḳhayāl-e-ġhair se jab tum ko ijtināb nahīñ
tumhāre paas vo yuuñ aate be-hijāb nahīñ
jo piinā chāhtā hai pī le mai-e-mohabbat ko
nafīs is se jahāñ meñ koī sharāb nahīñ
ye ahl-e-zohd phir us ke maze ko kyā jāneñ
unhoñ ne terī mohabbat kī pī sharāb nahīñ
tirī vo shān-e-karīmī ki jis kī koī had hī nahīñ
mire gunāh bhī itne ki kuchh hisāb nahīñ
aur tujh ko dekhe koī ḳhud se gar judā ho kar
abad tak us ko phir andesha-e-'azāb nahīñ
paḌhā.ī shaiḳh ne jab se mujhe bayāz-e-vajūd
'asad' nazar meñ jamī phir koī kitāb nahīñ
KHayal-e-ghair se jab tum ko ijtinab nahin
tumhaare pas wo yun aate be-hijab nahin
jo pina chahta hai pi le mai-e-mohabbat ko
nafis is se jahan mein koi sharab nahin
ye ahl-e-zohd phir us ke maze ko kya jaanen
unhon ne teri mohabbat ki pi sharab nahin
teri wo shan-e-karimi ki jis ki koi had hi nahin
mere gunah bhi itne ki kuchh hisab nahin
aur tujh ko dekhe koi KHud se gar juda ho kar
abad tak us ko phir andesha-e-'azab nahin
paDhai shaiKH ne jab se mujhe bayaz-e-wajud
'asad' nazar mein jami phir koi kitab nahin
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 240)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.