main hi nur-e-nubuwat-e-ambiya hun
maiñ hī nūr-e-nubuvāt-e-ambiyā huuñ
maiñ hī zor-e-vilāyat-e-auliyā huuñ
parastish hai mirī dair-o-haram meñ
maiñ shaiḳh-o-barhaman kā mudda'ā huuñ
zuhūr-e-hastī-e-mutlaq meñ apnī
maiñ hī ḳhud-bīñ huuñ maiñ ḳhud-numā huuñ
koī kahtā hai zāhir koī bātin
ye zan mahz hai maiñ lā-patā huuñ
kaTā mansūr kā sar jis ke pīchhe
vahī to maiñ anal-haq kī sadā huuñ
tumheñ hāsil nahīñ chashm-e-haqīqat
vagarna maiñ hī ganj-e-makHfiyā huuñ
hayā huuñ maiñ hasīnān-e-jahāñ kī
marīz-e-'ishq kī maiñ hī davā huuñ
main hi nur-e-nubuwat-e-ambiya hun
main hi zor-e-wilayat-e-auliya hun
parastish hai meri dair-o-haram mein
main shaiKH-o-barhaman ka mudda'a hun
zuhur-e-hasti-e-mutlaq mein apni
main hi KHud-bin hun main KHud-numa hun
koi kahta hai zahir koi baatin
ye zan mahz hai main la-pata hun
kaTa mansur ka sar jis ke pichhe
wahi to main anal-haq ki sada hun
tumhein hasil nahin chashm-e-haqiqat
wagarna main hi ganj-e-makHfiya hun
haya hun main hasinan-e-jahan ki
mariz-e-'ishq ki main hi dawa hun
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 241)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.