tamam aalam mein humne dekha usi ka jalwa chamak raha hai
tamam aalam mein humne dekha usi ka jalwa chamak raha hai
Tasadduq Ali Asad
MORE BYTasadduq Ali Asad
tamām 'ālam meñ ham ne dekhā usī kā jalva chamak rahā hai
ye us kī qudrat kā hai tamāsha sadaf meñ gauhar damak rahā hai
kahīñ hai nasrīñ kahīñ hai vo gul kahīñ hai laala kahīñ hai sumbul
ḳhud apnī hamd-o-sanā meñ ai dil vo ban ke ġhuncha chaTak rahā hai
fazā-e-bāġh-e-jināñ meñ jā kar jo ban ke bād-e-sabā chalā vo
to us kī nik.hat se gul chaman meñ ḳhutan meñ aahū bhaTak rahā hai
uThā ke ġhaflat kā dil se parda jo laus duniyā ko ham ne chhoḌā
to chashm-e-bātin se us ko dekhā har ek sūrat chamak rahā hai
kahīñ hai 'āshiq kahīñ hai dilbar karishma lākhoñ hamīñ ne dekhā
hamāre dil meñ makāñ banā kar ba-rañg-e-bulbul chahak rahā hai
na kā’ba meñ hai na dair meñ hai na hai haram meñ na but-kade meñ
to dekh us ko vo hai tujhī meñ suhā abas hī bhaTak rahā hai
tamam 'alam mein hum ne dekha usi ka jalwa chamak raha hai
ye us ki qudrat ka hai tamasha sadaf mein gauhar damak raha hai
kahin hai nasrin kahin hai wo gul kahin hai lala kahin hai sumbul
KHud apni hamd-o-sana mein ai dil wo ban ke ghuncha chaTak raha hai
faza-e-bagh-e-jinan mein ja kar jo ban ke baad-e-saba chala wo
to us ki nikhat se gul chaman mein KHutan mein aahu bhaTak raha hai
uTha ke ghaflat ka dil se parda jo laus duniya ko hum ne chhoDa
to chashm-e-baatin se us ko dekha har ek surat chamak raha hai
kahin hai 'ashiq kahin hai dilbar karishma lakhon hamin ne dekha
hamare dil mein makan bana kar ba-rang-e-bulbul chahak raha hai
na ka’ba mein hai na dair mein hai na hai haram mein na but-kade mein
to dekh us ko wo hai tujhi mein suha abas hi bhaTak raha hai
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 424)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.