hai nahin jis mein haqiqat wo shariat kaisi
hai nahīñ jis meñ haqīqat vo sharī'at kaisī
jis meñ iḳhlās na ho vo hai tarīqat kaisī
manzil-e-'ishq meñ taklīf hai rāhat kaisī
tāj-e-zillat hai yahāñ ḳhil'at-e-'izzat kaisī
sar-nigūñ qaisar-o-jam kyuuñ na hoñ mere aage
mil ga.ī haq se mujhe faqr kī daulat kaisī
lā-ilāha-illā anā aap haiñ kahte kis ko
hai agar ġhair to phir aap kī vahdat kaisī
dekh le shān-e-ḳhudā gar hai basīrat tujh ko
sūrat-e-pīr meñ zāhir hai haqīqat kaisī
'arsh se farsh talak maiñ ne tujhī ko dekhā
kī 'atā tū ne mujhe chashm-e-basīrat kaisī
man ra.ānī ne kiyā mujh ko ġharīq-e-hairat
jis kī sūrat nahīñ phir us kī shabāhat kaisī
dil se vājib hai adā karnā farā.ez kā 'asad'
jab nahīñ dil hī to phir tujh se 'ibādat kaisī
hai nahin jis mein haqiqat wo shari'at kaisi
jis mein iKHlas na ho wo hai tariqat kaisi
manzil-e-'ishq mein taklif hai rahat kaisi
taj-e-zillat hai yahan KHil'at-e-'izzat kaisi
sar-nigun qaisar-o-jam kyun na hon mere aage
mil gai haq se mujhe faqr ki daulat kaisi
la-ilaha-illa ana aap hain kahte kis ko
hai agar ghair to phir aap ki wahdat kaisi
dekh le shan-e-KHuda gar hai basirat tujh ko
surat-e-pir mein zahir hai haqiqat kaisi
'arsh se farsh talak main ne tujhi ko dekha
ki 'ata tu ne mujhe chashm-e-basirat kaisi
man raani ne kiya mujh ko ghariq-e-hairat
jis ki surat nahin phir us ki shabahat kaisi
dil se wajib hai ada karna faraez ka 'asad'
jab nahin dil hi to phir tujh se 'ibaadat kaisi
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 429)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.