Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHud ada marti hai jis par wo ada kuchh aur hai

Tasadduq Ali Asad

KHud ada marti hai jis par wo ada kuchh aur hai

Tasadduq Ali Asad

MORE BYTasadduq Ali Asad

    ḳhud adā martī hai jis par vo adā kuchh aur hai

    hai vafā bhī jis pe sadqe vo jafā kuchh aur hai

    qum iznī sub.hānī hqqam lais

    in sadāoñ se judā apnī sadā kuchh aur hai

    us ke rindoñ ke yahāñ sab se nirāle taur haiñ

    un to som-o-salāt-o-ittiqā kuchh aur hai

    kyā kahūñ pīr-e-muġhāñ dosto lutf-o-karam

    apne mastoñ ke liye us 'atā kuchh aur hai

    kab sharāb-e-nāb ho qadr us ke sāmne

    ham balā-noshoñ talchhaT maza kuchh aur hai

    maiñ nafī isbāt se kuchh bhī nahīñ rakhtā ġharaz

    jis meñ mashġhūl huuñ vo mashġhala kuchh aur hai

    nahnu-o-'aqrab kah ke vo sab ko bulā.e haiñ 'asad'

    phir jo haiñ un meñ fanā un ko nidā kuchh aur hai

    KHud ada marti hai jis par wo ada kuchh aur hai

    hai wafa bhi jis pe sadqe wo jafa kuchh aur hai

    qum izni ya subhani ya hqqam ya lais fi

    in sadaon se juda apni sada kuchh aur hai

    us ke rindon ke yahan sab se nirale taur hain

    un ka to som-o-salat-o-ittiqa kuchh aur hai

    kya kahun pir-e-mughan ka dosto lutf-o-karam

    apne maston ke liye us ki 'ata kuchh aur hai

    kab sharab-e-nab ki ho qadr us ke samne

    hum bala-noshon ki talchhaT ka maza kuchh aur hai

    main nafi isbaat se kuchh bhi nahin rakhta gharaz

    jis mein mashghul hun wo mashghala kuchh aur hai

    nahnu-o-'aqrab kah ke wo sab ko bulae hain 'asad'

    phir jo hain un mein fana un ko nida kuchh aur hai

    Source :
    • Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 428)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now