rahm hai jis ke sitam mein wo sitam-gar aur hai
rahm hai jis ke sitam meñ vo sitam-gar aur hai
hai vafā jis kī jafā meñ vo jafā gar aur hai
rakh diyā kyā soch kar saaqī ne de kar jām-e-mai
mast kar de be-piye vo daur-e-sāġhar aur hai
hai nahīñ jannat meñ 'ābid jis kī ḳhvāhish hai tujhe
tā abad qaa.em rakhe vo jām-e-kausar aur hai
khīñch le us ko kināre par koī mumkin nahīñ
kashtī-e-bahr-e-fanā kā yaaro lañgar aur hai
lākhoñ dar lākhoñ hue haiñ ġharq ho ke be-nishāñ
bahr-e-vahdat se jo niklā vo shanāvar aur hai
toḌ de jo hastī-e-vahmī kā ḳhaibar aan meñ
maz.har-e-haq meñ 'asad' vo shān-e-haidar aur hai
rahm hai jis ke sitam mein wo sitam-gar aur hai
hai wafa jis ki jafa mein wo jafa gar aur hai
rakh diya kya soch kar saqi ne de kar jam-e-mai
mast kar de be-piye wo daur-e-saghar aur hai
hai nahin jannat mein 'abid jis ki KHwahish hai tujhe
ta abad qaem rakhe wo jam-e-kausar aur hai
khinch le us ko kinare par koi mumkin nahin
kashti-e-bahr-e-fana ka yaro langar aur hai
lakhon dar lakhon hue hain gharq ho ke be-nishan
bahr-e-wahdat se jo nikla wo shanawar aur hai
toD de jo hasti-e-wahmi ka KHaibar aan mein
mazhar-e-haq mein 'asad' wo shan-e-haidar aur hai
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 430)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.