kahin soz-e-jigar mein wo kahin dard-e-nihan ho kar
kahin soz-e-jigar mein wo kahin dard-e-nihan ho kar
Tasadduq Ali Asad
MORE BYTasadduq Ali Asad
kahīñ soz-e-jigar meñ vo kahīñ dard-e-nihāñ ho kar
kahīñ haiñ vo kisī dil meñ kahīñ shor-o-fuġhāñ ho kar
kahīñ ghā.il kiye tīr-e-nigāh-e-nāznīñ ban kar
kahīñ vo ḳhuun karte haiñ adā-e-jāñ-sitāñ ho kar
ḳhud hī kahte haiñ zāhir haiñ jahāñ dekho hamīñ ham haiñ
magar ye jā-e-hasrat hai chhupe phir kyuuñ ayaañ ho kar
shikasta dil meñ rahte haiñ hai sābit un ke kahne se
ta’ajjub hai pata dete haiñ apnā lā-makāñ ho kar
haram meñ jalva-afzā.ī hai shān-e-dilrubā.ī meñ
tajallī hind meñ dete haiñ vo husn-e-butāñ ho kar
hayāt-e-jāvedānī kā agar tālib hai tū sālik
basar kar zindagī apnī 'ayāñ meñ tū nihāñ ho kar
anā kā jin ko da'ava thā vo qaa.em tā-abad rahte
ga.e zer-e-zamīñ phir kis liye vo be-nishāñ ho kar
karī ātish-parastī gabr ho kar ai 'asad' barsoñ
dikhāyā sirr-e-ma,anī us ne tab pīr-e-muġhāñ ho kar
kahin soz-e-jigar mein wo kahin dard-e-nihan ho kar
kahin hain wo kisi dil mein kahin shor-o-fughan ho kar
kahin ghail kiye tir-e-nigah-e-naznin ban kar
kahin wo KHun karte hain ada-e-jaan-sitan ho kar
KHud hi kahte hain zahir hain jahan dekho hamin hum hain
magar ye ja-e-hasrat hai chhupe phir kyun ayan ho kar
shikasta dil mein rahte hain hai sabit un ke kahne se
ta’ajjub hai pata dete hain apna la-makan ho kar
haram mein jalwa-afzai hai shan-e-dilrubai mein
tajalli hind mein dete hain wo husn-e-butan ho kar
hayat-e-jawedani ka agar talib hai tu salik
basar kar zindagi apni 'ayan mein tu nihan ho kar
ana ka jin ko da'awa tha wo qaem ta-abad rahte
gae zer-e-zamin phir kis liye wo be-nishan ho kar
kari aatish-parasti gabr ho kar ai 'asad' barson
dikhaya sirr-e-ma,ani us ne tab pir-e-mughan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.