ism-e-zahir se tere jo ki KHabar-dar hua
ism-e-zāhir se tire jo ki ḳhabar-dār huā
tā-abad diid se phir apnī vo bezār huā
terī vahdat meñ ḳharīdārī kā da’ava kis ko
husn kā apne tū hī aap ḳharīdār huā
ḳhud ko kho ke na liyā jis ne kabhī naam allāh
haq agar pūchho vahī maḳhzan-e-asrār huā
ek muusā hī nahīñ rah ga.e saare mahrūm
barmalā kis ko 'asad' kab mirā dīdār huā
ism-e-zahir se tere jo ki KHabar-dar hua
ta-abad did se phir apni wo bezar hua
teri wahdat mein KHaridari ka da’awa kis ko
husn ka apne tu hi aap KHaridar hua
KHud ko kho ke na liya jis ne kabhi nam allah
haq agar puchho wahi maKHzan-e-asrar hua
ek musa hi nahin rah gae sare mahrum
barmala kis ko 'asad' kab mera didar hua
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.